Posts

Showing posts from May 20, 2020

Manqabat E Gaus E Aazam By Aaftab Cassim Sahab

YA GHAUS E AZAM DASTAGEER HAR SHAYKH KA TU SHAYKH HE, HAR PEER KA TU PEER HE TU QAADIRI AMEER HE, YA GHAUS E AZAM DASTAGEER YA GHAUS E AZAM DASTAGEER AL MADAD PEERAAN E PEER TU NAAIB E KHAYRUL WARA, TAIBA KA HE TU RAASTA, AAQA KA TU WAZEER HE, YA GHAUS E AZAM DASTAGEER YA GHAUS E AZAM DASTAGEER AL MADAD PEERAAN E PEER BABA TERA SHERE KHUDA, TUJH PE HE DAST E FAATIMA HASNAIN KA TU TEER HE, YA GHAUS E AZAM DASTAGEER YA GHAUS E AZAM DASTAGEER AL MADAD PEERAAN E PEER AKHTAR KA SADQA HO ATA, NAZR E KARAM GHAUSUL, WARA HUM QAADIRI FAQEER HE, YA GHAUS E AZAM DASTAGEER YA GHAUS E AZAM DASTAGEER AL MADAD PEERAAN E PEER AHMED RAZA KA AASRA, KYA KHOOB HE YE SILSILA, PUR KAIF O PUR TANWEER HE, YA GHAUS E AZAM DASTAGEER YA GHAUS E AZAM DASTAGEER AL MADAD PEERAAN E PEER YE GYARHWEE O FAATEHA, HAR EYK ME RAB KI RAZA TERA KARAM KASEER HE, YA GHAUS E AZAM DASTAGEER YA GHAUS E AZAM DASTAGEER AL MADAD PEERAAN E PEER BE PEER

Muhaddith E Kabeer Ki Shan Me Ash'aar By Aaftab Cassim Sahab

Ash'ar Dar Shan E Huzoor Muhaddith E Kabeer Aaftaab e ilm o Hikmat Aap Hain Mahtaab e Aala Hazrat Aap Hain Sayyidi Sadrush Shari'at Ki Zia Naa-ib e Sadr e Shari'at Aap Hain Dekha Jis Ne Aapko Woh Keh Utha Aashiq e Shama e Risaalat Aap Hain Dawr e Haazir Me Sabhi Ka Aasra Aabru e Ahle Sunnat Aap Hain Ay Muhad'dith, Ay Faqih, Ay Paarsa Ghaus e Azam Ki Karaamat Aap Hain Raaz daar e Sayyidi Asjad Raza Unke Waalid Ki Amaanat Aap Hain Mil Rahi He Jis Se Khushbu e Raza Wo Muattar Baagh e Ulfat Aap Hain Maslak e Ahmed Raza Ka Rahnuma Aala Hazrat Ki Inaayat Aap Hain Haafiz e Millat Ka Roshan Aa-ina Wo Zia e Deen o Millat Aap Hain Mar Rahe Hain Firqaha e Baatila Qaata-e Kufr o Dalaalat Aap Hain Aaftaab e Noori He Tum Pe Fida Mere Murshid Ki Bashaarat Aap Hain Penned By Sag e Mufti e Azam Muhammed Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori IMAM MUSTAFA RAZA RESEARCH CENTRE 1440 Hijri  *The Year of Aal

Urs E Tajushshariyah Kalam By Aaftab Cassim Sahab

Urse Taaj e shari'at Manane Chale Rishta e Razviyat Jagmagane Chale Urs e Taaje Shari'at Manane Chale Tum Chalo Hum Chale Sab Bareilly Chalen Baarish e Noor Me Sab Nahane Chale Aashiqo Aawo Aawo Bareilly Chalen Behre Ulfat Me, Ghota Lagane Chalen Faize Taaje Shari'at Ka Dar He Khula Jaame Taaje Shari'at Ko Paane Chalen Akhtar e Qaadiri Khuld Me Chal Diya Peeche Peeche Hai Saare Deewane Chale Zindagi He Nabi Ki, Nabi Ke Liye Naat e Akhtar Raza Gungunane Chale Maslak e Aala Hazrat Pe Qaa-im Raho Naara e Murshidi Hum Lagaane Chalen Deed e Akhtar Raza Ki Tapish Jo Lagi Deed e Asjad Raza Se Bujaane Chalen Dushmanan e Raza Ke Jo Hamle Huwe Un Sabhi Ke Jawabo ko Paane Chale Daaman e Shahe Akhtar Raza Thaam Kar Sunniyat Ka Safeena Tiraane Chalen Aftaab e Raza, Khawf Na Rakh Zara Baghiyaan e Raza Ko Mitaane Chalen Penned By Sag e Mufti e Azam Muhammed Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori I

Kalam E Aaftab Cassim Sahab

Gada E Raza Ho Nisar E Madina Raza Ne Pilaaya He Wo Jaam e Irfaa Ke Saara Jahaan He Nisaar e Madina Ajab Ishq Tha Mere Ahmed Raza Ka Basaya Tha Aankho Me Khaar e Madina Jo Aashiq Tumhara Wo Shayda Nabi Ka Gada e Raza He, Nisaare Madina Thee Khaak e Madina Wo Surma Raza Ka He Nazro me Unka, Mazaar e Madina Rahega Yoon Abaad Maslak Raza Ka Lagaya Raza Ne, Hisaar e Madina Fida e Nabi Mere Taajush Shariah Bana Un ka DII, Yaad-gaar e Madina Hain Hussam. Hummam o Asjad Raza Khan. Ba Faiz e Raza, Jaa-nisaare Madina Zia e Raza Jis ne Paayl, Wo Paaya Bahaar e Shari'at, Bahaar e Madina Na Choro Raza Ko, Walaadaar Rehna Adu e Raza He, Khwaar e Madina Ho Aftaab e Razvi - Pe Har Waqt Aaqa Karam Ki Nazar - Taajedaar e Madina Penned By Sag e Mufti e Azam Muhammed Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori IMAM MUSTAFA RAZA RESEARCH CENTRE [ Contact Us :- 9929114267 ]

Kalam E Aaftab Cassim Sahab

MERA MARKAZ BAREILLY HE Raza Ka Naam Lene Se, Machal Uth-thay He Diwaane, Bareilly Meri Manzil He, Mera Markaz Bareilly He Fida Hone Ko Aate He, Raza Ke Dar Pe Parwaane Ye Parwana e Ulfat He, Mera Markaz Bareilly He Ye Wo Shama e Wilayat He Na Buj Sakti, Bujaane Se Madine Se Ye Roshan He, Mera Markaz Bareilly He Ye Darbaar e Mohabbat He Yaha(n) Milte He Mastaane Har Ek Noori Ye Kehta He, Mera Markaz Bareilly He Ye Faizaan e Bareilly He Jo Zaahir He Zamaane Me Wafaadaro Ka Naara He, Mera Markaz Bareilly He Ye Markaze Aqeedat He, Koi Maane Ya Na Maane Mera Imaan Kehta He, Mera Markaz Bareilly He Yaha(n) Taaj e Shariat He, Yaha(n) Bante He Paymaane Ye Darbaar e Shariat He, Mera Markaz Bareilly He Ye Akhtar Ki Inaayat He Nikhar Jaate He Afsaane  Mere Asjad Bhi Kehte He, Mera Markaz Bareilly He Raza Aftaab e Ummat He, Raza Ke Hum He Diwaane Dilo Jaan Se Ye Kehte He, Mera Markaz Bareilly He Penned By Sage M

Manqabat E Tajushshariyah By Aaftab Cassim Sahab

Bareilly Me Hai Akhtar e Ahle Sunnat Bareilly Me He Taajedaar e Karaamat Bareilly Me He Gar Che Dunya Me Ab To Nahi Wo Rahe Mera Taajush Shari'ah Bareilly Me He Shaykh Kaamil Ka Saaya Hum Sub Pe Rahe Aashiqaan e Raza Pe Barasta Rahe Saare Ushaaq Ke Dil Ab To Tukre Huwe Mere Taajush Shariah Yaha Na Rahe Saare Ushaaq Ke Aankhe Purnam Huwe Shawq Deedar Me Ashk Bahne Lage Aashiqaan e Raza Sub Ye Kehne Lage Maslak e Aala Hazrat Salaamat Rahe Allah Acha Rakhe, Allah Acha Rakhe Ye Dua wo Hamesha Karte Rahe Asjad e Qaadiri Pe Hamesha Rahe Unka Dast e Karam, Unka Saaya Rahe Aashiq e Mustafa Chal Diya Dahr Se Ishq e Aqaa Me Band Unke Aankhe Huwe Jism Murshid Ba-zaahir Bareilly Me He Rooh e Akhtar To Haazir Madine Me He Asmaan Se Farishte Utar Aaye He Rooh e Akhtar Raza Ko Sajaane Lage Waqt e Maghrib Wudu Me Zameen Se Chale Zikr e Rab e Ula Me Yahaan se Chale Aala Hazrat Se Ab Wo To Milne Gaye Mufti e Azam e

Manqabat E Sadrushshariyah By Aaftab Cassim Sahab

Amjad Ali Mere ( My Amjad Ali ) UP ke Aftaab Hain Amjad Ali Mere Ghosi Ke Mahtaab Hain Amjad Ali Mere ( The Bright Sun of U.P. is My Amjad Ali The Radiant Moon of Ghosi is My Amjad Ali ) Akhtar Raza Ne Kar Diya E'laan Bar Mala Faiz e Raza Ke Baab Hain Amjad Ali Mere ( Hazrat Akhtar Raza Openly Announced; The Gate To Raza's Blessings is My Amjadi Ali ) Har Ek Ne Ye Maana He, Har Ek Ne Kaha Buzm e Raza Ke Taab He Hain Amjad Ali Mere ( Each & Every One Accepted, Every One Said The Glow of Raza's Assembly is My Amjad Ali ) Padh Kar Jise Rasool Ki Ulfat Ho Aashkaar Wo Ishq Ki Kitaab Hain Amjad Ali Mere ( By Reading Which, The Love of The Rasool becomes Manifest Such A Book of True Profound Love is My Amjad Ali ) Hain Firqahaye Batila Jitne Jahaan Mein Un Sub Ka Ik Jawaab Hain Amjad Ali Mere ( For All The Deviant Sects Which are In The World, A Single Answer to All of them Is My Amjad Ali )

A Tribute To Sayyedi Tajushshariyah By Aaftab Cassim Sahab

TRIBUTE IN THE LOVE OF MY MASTER HUZOOR SAYYIDI TAAJUSH SHARI'AH Auron Se Kya Gharaz Mujhe , Behtar He Saamne Faiz e Raza Ke Shakl Me, Akhtar He Saamne Murshid Ko Jab-ke Paaya Tha Rozay Ke Ru Ba Ru Tab Haal e Dil Sunaya Tha Rozay Ke Ru Ba Ru Akhtar Raza Huzoor Ke Dar Ke Faqeer Hain Is Waaste, Woh Ahle Sunan Ke Ameer Hain Juz Akhtar e Raza Koi Batla Ai Hamnashin Jo Gham me Saath De Sake Aisa Bhi Hai Kahin Is Daur e Pur Fitan Mein Karen Kispe Ab Yaqeen Rahbar Jo Apne Khaas Thay Ab Woh Rahe Nahin Dil Pe Tumhari Yaad ka Pahra Ho Har Ghari Nazron Ke Saamne Rukh e Zeba Ho Har Ghari Bachna Agar Hai Hashr Mein Naar e Jaheem Se Ai Aftaab Lau Laga Shaykh e Kareem Se Teri Madad Ko Aayenge Woh Ek Aah Mein Ai Aftaab Dil Bichha Murshid ki Raah mein SAG E MUFTI E AZAM MUHAMMAD AFTHAB CASSIM QAADIRI RAZVI NOORI [ I Attempted to write few Matlas (introductory couplets) on different themes to form a single poetic

A Tribute To Sayyedi Muhaddith E Kabeer By Aaftab Cassim Sahab

FIDA E AALA HAZRAT, ZIA E AHLESUNNAT TU HUM ME MU'AZZAM HE, ULFAT KA KHAZINA HE, SHAYDA E RAZA BUN KE, DUNIYA ME TU AAYA HE FIDA E AALA HAZRAT, ZIA E AHLESUNNAT AAYE HAIN RAZA JIS ME, AAYE HAIN ZIA JIS ME SHAWWALE MUKARRAM KA, WOH PYAARA MAHINA HE FIDA E AALA HAZRAT, ZIA E AHLESUNNAT MASLAK KA MUTARJAM HE, AMJAD KA TU ZAIGH PAIGHAAM ERAZA TU NE, BE KHAWF SUNAYA HE FIDA E AALA HAZRAT, ZIA E AHLESUNNAT HAQ KE LIYE TUM MARNA, NAJDI SE NA TUM DARNA ANDAAZ E RAZA TU NE, HAR WAQT SIKHAYA HE FIDA E AALA HAZRAT, ZIA E AHLESUNNAT TU ISHQ KA DAA'I HAI, AAQA KA FIDA'I HAI KYA JAAM E NABI TU NE, HUM SUB KO PILAAYAHE FIDA E AALA HAZRAT, ZIA E AHLESUNNAT JO FAHSH KALAAMI THE, TAHIR KE JO HAAMI THE TU SAYF E RAZA BUN KE, UN SAB KO BHAGAYA HE FIDA E AALA HAZRAT, ZIA E AHLESUNNAT AMJAD KA NAGINA HE, TERI SHAAN KA KYA KAHNA TU AMJADI DOOLHA HE, NOORI KA SAJAAYA HE FIDA E AALA HAZRAT, ZIA E A

Naat E Rasool ﷺ By Aaftab Cassim Sahab

Dayar E Nabi  ﷺ Dekh Aaya Hoon Me Dayaar Nabi Koo e Taiba Ki Yaad Aayi He Ishq Aaqa Ne Jub Rulaya Kabhi Aala Hazrat Ki Yaad Aayi He Dekha Jisne Bhi Tum Ko Ai Noori Ghaus e Aazam Ki Yaad Aayi He Ishqe Akhtar Me Thay Shuaib Abhi Yaad e Murshid Me Neend Aayi He Fakhr e Akhtar He Asjad e Noori Tu Ne Himmat Raza Se Paayi He Mar Ke Jeene Ki Arazoo He Meri Zindag Meri, Mawt Laayi He Kitna Khush Bakht He Tu Aei Razvi Tu Ne Ulfat Zia ki Paayi He Sulhe Kulli Ho, Ya Raafdi, Najdi Jee Ke Bhi Sub Ko Mawt Aayi He Jaa Ke Dekhu Me Phir Raza Ki Gali Yak Sadi Urs Ki Ab Aayi He Tiujhko Ghayro Se Kya Gharaz Razvi Te Ne Akhtar Ki Zaat Paayi He Aftaab e Raza, Tu To He Razvi Tu Ne Murshid Se Jawt Paayi He DEKH AAAYA HOON ME DAYAARE NABI SAG E MUFTI E AZAM MUHAMMAD AFTHAB CASSIM QAADIRI RAZVI NOORI Imam Mustafa Raza Research Centre [ Contact Us :- 9929114267 ]

Manqabat E Raza By Aaftab Cassim Sahab

HAI AASHIQ KI SADA, SHAHE AHMED RAZA HAI AASHIQ KI SADA, SHAHE AHMED RAZA RAHE ROSHAN TERA YE QAADIRI MISSION FAIZ E AHMED RAZA DEKHNA HO, DEKHO AKHTAR RAZA KO, HE WO AHMED RAZA KA DULARA, SUNNIYO KA SAHARA, CHALO AY SUNNIYO, BAREILLY KO CHALO JO HAI IK AASHIQ E RASOOL KA WATAN JIS KE LAFZON MEIN ISHQ E BILALI, JO HAI FAKHR E GHAZALI ILM O HIKMAT KA JO HAI KHAZANA, US PE SHAYDA ZAMANA ATA E MUSTAFA, FATAWA RAZVIYAH WOH HE AHMED RAZA KE ILM KA CHAMAN NAAT GOYI KA DEKAR HADEEQA, TOONE BAKHSHA TAREEQA SUNKE NAATON KA TERE WAZIFA, HONGE KHUSH BU HANIFA YEH TERI SHAAN HAI MERA IQAAN HAI NABI KA ISHQ HAI TERA HAR IK SUKHAN NAA'RA E MASLAK EAALA HAZRAT, JISKI DUNIYA MEIN SHOHRAT ISHQ O IMAAN WALA YEH NAARA, SUNNIYO KO HE PYAARA YE NAA'RA RAZVIYA, HAI NAARA ISHQIYA LAGAATE JAAEGE SAB ISHQ MEIN MAGAN SHAH E HAAMID RAZA KA KARAM HAI, APNA BAAQI BHARAM HAI PYARE MUFTI E AZAM KE SADQE,  YA KHUDA NEYK

Manqabat E Khwaja By Aaftab Cassim Sahab

AI KHWAJA E AJMERI TU SHAM'E HIDAYAT HE AI KHWAJA E AJMERI TU BADR E TARIQAT HE AI KHWAJA E AJMERI SARKAAR KE JALWON SE KHWAJA HAIN MUEENUD'DEE TU NABWI BASHAARAT HE AI KHWAJA E AJMERI JO MAANGO WO MILTA HE, KHWAJA TERI CHAUKAT PE TU BAHRE KARAMAT HE AI KHWAJA E AJMERI HO KHAAS KARAM KHWAJA DUSHMAN KO TABAAH KAR DE BUS TERI HIFAAZAT HE AI KHWAJA E AJMERI DATA HE TU AI KHWAJA MANGTO KO NA JHIRKAWO, AB TERI ZIYAARAT HO AI KHWAJA E AJMERI MASLAK JO RAZA KA HE WO MASLAK E KHWAJA HE YE TERI AMAANAT HE AI KHWAJA E AJMERI AJMER O BAREILLY KA, SANGAM TO MISAALI HE, YE TERI BA DAWLAT HE AI KHWAJA E AJMERI BAAGHI HE WO KHWAJA KA DUSHMAN JO RAZA KA HE AISO KI HAJAAMAT HO AI KHWAJA E AJMERI HAIN KILKE RAZA AKHTAR SHAYDA-EE HE KHWAJA KA JO TAAJ E SHARIAT HE AI KHWAJA E AJMERI KHWAJA TERI BARKAT SE TALWAAR HE ALLAMA YE TERI HIMAYAT HE AI KHWAJA E AJMERI BAGHDAD KI BARKAT SE TU HIND KA RAJA HE YE Q

Manqabat E Siddique E Akbar By Aaftab Cassim Sahab

HAZRAT E SIDDIQUE HAIN PEKAR E SIDQO SADAQAT HAZRAT E SIDDIQUE HAIN RAHBARE RAAHE MUHABBAT HAZRAT E SIDDIQUE HAIN ISHQ E AQAA ME KIYA QURBAAN SUB KUCH AAP NE PARCHAME DEEN E NABI UNCHA KIYA HE AAP NE AAP KE JAISA NA KOYI AASHIQUE SARKAAR HE AASHIQE SHAM E RISAALAT HAZRAT E SIDDIQUE HAIN JAAN E AALAM KI MOHABBAT KA NAMUNA AAP HAIN AAL E AHMED KI MOHABBAT ME YAGANA AAP HAIN AAP HE AAQA KE AWR, AAQA HAMAARE AAP HAIN WO CHIRAAGH E RAAHE ULFAT HAZRAT E SIDDIQUE HAIN NOOR KI SARKAAR KA WO NOORI JALWA AAP HAIN BARGAAHE MUSTAFA KE WO CHAHITA AAP HAIN UNKA SAAYA THA NA KOYI, BALKE SAAYA AAP HAIN SAYA E NOOR E NUBUW'WAT HAZRAT E SIDDIQUE HAIN MUSTAFA HAIN JAANE RAHMAT BAAB E RAHMAT AAP HAIN MUSTAFA HAIN JAAN E AZMAT, BAAB E AZMAT AAP HAIN AAP HAIN BAAB E KARAAMAT, BAAB E ULFAT AAP HAIN AZMAT E ISHQE RISAALAT HAZRAT E SIDDIQUE HAIN RAHMAT E SARKAAR KE SAAYE TALAY TO AAP HAIN PEHLU E SARKAAR ME ARAAM FARMA

Manqabat E Aala Hazrat By Anas Miyañ Bareilly Shareef

Aala Hazrat Aapne Ishq Ka Deepak Jalaya Aala Hazrat Aapne Huq Ta'ala Se Milaya Aala Hazrat Aapne Azamate Shahe Madeenah Daal Di Hai Qalb Me Is Tarah Dil Ko Sajaya Aala Hazrat Aapne Aapke Fatwe Ko Padh Kar Keh Uthe Ahle Qalam Ilm Ka Dariya Bahaya Aala Hazrat Aapne Jis Se Ho Allah Raazi Aur Mehboob E Ilahi Ayse Raste Per Chalaya Aala Hazrat Aapne Mustafa E Zaat E Yakta Jaan Haiñ Iymaan Haiñ Humko Ye Kisne Bataya Aala Hazrat Aapne Rab Ta'ala Ki Ata Se Ek Hi Lalkar Me Qasre Batil Ko Giraya Aala Hazrat Aapne Hum Rasool Ullah Ke Jannat Rasool Ullah Ki Waah Kya Muzda Sunaya Aala Hazrat Aapne Is Aseere Mufti E Aazam Anas Razavi Ko Bhi Jaam Ulfat Ka Pilaya Aala Hazrat Aapne Written By :- Nabira E Aala Hazrat Shehzada e Huzoor Khalid E Millat Khalifa E Huzoor Taajushshariyah Mohtamim Darul Uloom Manzar E Islam Bareilly shareef Hazrat Allama Maulana Anas Raza Khan Qadri Huzoor Anas miyañ (Maddazillahul Aali) [ Contact Us :-

Kalam E Allama Salman Raza Fareedi Sahab Muscat ( Oman )

 Aye Mahe Ramazan Tu Humme Abhi Aur Theher Aye Mahe Ramazan Itni Bhi Na Jaldi Se Guzar Aye Mahe Ramazan Jaye Na Mere Dil Se Kabhi Teri Tajalli Tu Daal De Ek Eysi Nazar Aye Mahe Ramazan Hum Kar Na Sake Kuch Bhi Teri Shaan Ke Layiq Rota Hai Judai Se Jigar Aye Mahe Ramazan Sharminda Khade Haiñ Teri Dehleez Ke Aage Khamosh Zubañ Deeda E Tar Aye Mahe Ramazan Hum Jaise Nikammoñ Pe Yeh Ehsaan Hai Tera Tu Ban Ke Kareem Aaya Hai Ghar Aye Mahe Ramazan Haiñ Âshq E Nidamat Mere Tasht E Âmal Me Kar De Mere Âshqoñ Ko Guhar Aye Mahe Ramazan Bandoñ Ko Diya Tune Shab E Qadr Ka Tohfa Beshak Hai Ye Ae'zaz E Bashar Aye Mahe Ramazan Jo Ûmr Bachi Hai Woh Bhalayi Me Guzar Jaye Neki Se Saje Dil Ka Nagar Aye Mahe Ramazan Karta Rahe Taqseem E Ziya Jisse Fareedi Peymana E Fun Noor Se Bhar Aye Mahe Ramazan Written By :- Salman Raza Fareedi Shab [ Oman , Muscat ] [ Contact Us :- 9929114267 ]