Posts

Showing posts from June 28, 2020

Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye By Maulana Rafeeq Raza Qadri Sahab

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye Har Jigar Me Dard Apna, Meetha Meetha Chor Kar Chal Diye Jab Tum Zamane, Bhar Ko Tanha Chor Kar Khwab Me Aakar Dikhao, Hum Ko Bhi Aye Jaa(n) Kabhi Konsi Duniya Basayi, Ttumne Duniya Chor Kar Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye Mehfil-e Paak Me Bethe Hai(n) Giriyagar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye Leke Chashman-e Tar Muntazir Hai Nazar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye Sham'â Raushan Hai Per Raushani Hai Nahi(n), Chayi(n) Taarikiya(n) Har Jagah Har Ghadi Karne Hum Sab Ke Roshan Quloob O Jigar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye Jalwa Farmaiye Duriya(n) Door Ho(n), Dekh Kar Jalwa Phir Aankh Purnoor Ho Apne Khadim Ke Sang Kijiye Phir Safar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye Aapke Aane Ka Rehta Hai Intezar, Har Ghadi Har Jagah Bas Yahi Hai Khumar Dhoondta Dhoondta Aagaya Phir Se Ghar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye Mur

Yeh Raza Ka Chaman

Aaj Ikattha Hai(n) Danish Warane Watan Ya'ani Ulema Wa Sho'ara E Fikr Aur Fan Sahibane Sukhan Hasile Anjuman Nuqta Daan O Fasihane Ahle Sunan Hai Adeeb O Khateebe Zuban O Sukhan Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman Azamate Sidqe Siddiq E Akbar Liye Adle Farooqe Aazam Ka Mazhqr Liye Sabre Usmañ Gani Ka Samandar Liye Partave Daste Baazue Haider Liye Nik'hate Range Hazrate Hussain O Hassan Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman Isme Ajmeri Khwajah Ki Hai Khwajagi Sayyed Mas'ood Gazi Ka Gulshan Yahi Yeh Hai Phulwari Ashraf Jahañgir Ki Range Booe Bareilly Wa Marehrawi Ispe Saya Figan Panjae Panjatan Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman Fazle Haq Khairabadi Ka Isme Usool Iske Hami Badayuñ Ke Fazle Rasool Shah Marehrawi Sayyed Aale Rasool Kar Liya Peer Ne Bhi Raza Ko Qubool Is Liye Us Pe Naazañ Hai Ahle Sunan Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman Mustafa Ke Raza Ki Bahareñ Liye Lala O Gul Mehekte Lehe

Manqabat-e Huzoor Tajushariyah By Allama Salman Raza FAREEDI Sahab, Oman Muscut

*👑वाह क्या रंग है अय अजहरी दुल्हा तेरा* *▪️नूरी पौशाक है रजवी है अमामा तेरा* *👑चांद तारो की है बारात रची है शादी* *▪️हामिदी फुल है जिलानी है सेहरा तेरा* *👑तेरी हस्ती है कमालाते रजा की मजहर* *▪️ताज वालों मे शहा ताज है उंचा तेरा* *👑हुबहु मुफती ऐ आजम की जलक है तुज में* *▪️इस्तेकामत की बुलंदी पे है तकवा तेरा* *👑ईश्क वालों का हरम है तेरे अजदाद का दर* *▪️किब्ला ए अहले मुहब्बत है धराना तेरा* *👑है वही शाने कयादत तेरे खुन के अंदर* *▪️तेरे कुरबां के मुजद्दीद हुवा बाबा तेरा* *👑अहले हक्क केहने लगे ताजे शरीअत तुजको* *▪️जोहरे ईल्मो अमल सब ने जो देखा तेरा* *👑तुज में वो नूर है ऐ अख्तरे बुर्जे रिफअत* *▪️मौत के बाद भी रोशन है सितारा तेरा* *👑आज भी अहले नजर देख रहे है तुज को* *▪️ईश्क वालों पे शहा हाथ है रख्खा तेरा* *👑तेरा पैगामे अमल मस्लके आला हजरत* *▪️दौलते ईश्के रिसालत है असासा तेरा* *👑ऐसे रोशन है जमाने में तेरे नक्शे कदम* *▪️छुं ना पाऐंगे अंधेरे कभी रस्ता तेरा*  *👑बट रहा है तेरी चौखट से नबी का फैजान* *▪️कम ना होगा कभी ता

Manqabat-e Huzoor Tajushariyah By Allama Salman Raza FAREEDI Sahab, Oman Muscut

Mere Tajushariyah, Mere Tajushariyah Yeh Chamak Akhtare Burje Taqwa Ki Hai Dhoom Yeh Urse Tajushariyah Ki Hai Mere Tajushariyah Mere Tajushariyah Roshani Unki Zaate Mujalla Ki Hai Dhoom Yeh Urse Tajushariyah Ki Hai Mere Tajushariyah, Mere Tajushariyah Gungunate Chalo Nagme Gaate Chalo Apne Murshid Ke Dar Muskurate Chalo Ye Sada Unke Har Ek Shaida Ki Hai Dhoom Yeh Urse Tajushariyah Ki Hai Mere Tajushariyah, Mere Tajushariyah Sab Deewane Chale(n) Gum Mitane Chale(n) Unke Dar Apni Bigadi Banane Chale(n) Sab Pe Chashme Karam Us Masiha Ki Hai Dhoom Yeh Urse Tajushariyah Ki Hai Mere Tajushariyah, Mere Tajushariyah Maut Se Pehle Hi Aapne Keh Diya Akhtare Qadri Khuld Me Chal Diya Yeh Zaba(n) Ek Jannat Rasida Ki Hai Dhoom Yeh Urse Tajushariyah Ki Hai Mere Tajushariyah, Mere Tajushariyah Har Taraf Se Muhabbat Ki Saugat Hai Ilm Ke Chand Taaro(n) Ki Baarat Hai Waah Kya Shan Is Razvi Dulha Ki Hai Dhoom Yeh

Manqabat-e Huzoor Tajushariyah By Allama Salman Raza FAREEDI Sahab

Rehnuma-e Raah-e Jannat Hai Tera Naqsh-e Qadam Raah-e Jannat Tay Na Hogi Yera Rasta Chor Kar Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani Salam Aye Murshid-e Kamil, Salam Aye Sheikh-e Lasani Salam Aye Sayyedi Tajushariyah, Faiz -e Yazdani Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani Jamal-e Hujjat Ul Islam Aqs-e Mufti E Aazam Salam Aye Gauth Ke Nayib, Raza Ke Zille Roohani Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani Saje Hai(n) Charkh-e Hikmat Per Tere Afkar Ke Taare Dilo(n) Ko Noor Deti Hai, Tere Jalwo(n) Ki Taabani Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani Uloom-e Aala Hazrat Ka Khazina Yera Seena Hai Salam Aye Sayyedi Akhtar, Ziya E Bazm-e Irfani Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani Tere Alfaz Hai(n) Ya Maa'rifat Ke Laa'l O Gauhar Hai(n) Adab Ke Saa'di E Dora(n), Sukhan Ke Jami E Sani Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani Teri Nisbat Ko Apnaye Jise Ae'zaz Pana Ho Tere Daaman Se Lag Jaye, Jise Qismat Ho Chamkani Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani Tera Naqsha Nigah-e Dehr Ne Mehfooz Rakh