Al Istemrad Ala Ijyalil Irtedad
( For Urdu :: Click here ) Sachchi Baat Sikhate Yeh hein Seedhi Raah Chalate Yeh hein Doobi Nawein Tairaate Yeh hein Hilti Naiwein Jamate Yeh hein Tooti Aasein Bandhate Yeh hein Chooti Nabzein Chalate Yeh hein Jalti Jaanein Bujhate Yeh hein Roti Aankhein Hansate Yeh hein Qasr-e-Dana Tak kis ki Rasai? Jaate Yeh hein Aate Yeh hein Us ke Nayeb En ke Saheb Haq se Khalq milate Yeh hein Shaafe Naafe Raafe Waafe kia kia Rahmat Laate Yeh hein Shaafa e Ummat Naafa e Khilqat Raafe Rutba badhate Yeh hein Daafe yaani Haafiz o Haami Daf e Bala Farmate Yeh hein Faiz e Jaleel e Khaleel se pocho Aag mein Baagh khilate yeh hein Inke Naam ke sadqe jis se Jeete hum hein Jilate Yeh hein uski Bakhshish inka Sadqa Deta woh hai khilate Yeh hein inka Hukum Jahan mein Nafiz Qabza Kul pe Rakhate Yeh hein Qaadir e Kul ke Nayeb e Akbar Kun ka Rang Dikhate Yeh hein unke Haath mein Har Kunji hai Maalik e Kul Kahlate yeh hein Inna Aatainakal kausar Saari Kasrat Paate Yeh hein Rab hai