Posts

Showing posts from May 17, 2020

Tehniyat Dre Shan E Qayid E Millay Huzoor Asjad Miyañ

Roo E Asjad Roo e Asjad Me Shabahat Chehra E Akhtar Ki Hai Aur Hasil Unko Qurbat Ishq Ke Mehwar Ki Hai Haath khali Saayiloñ ko Aap Lautate Nahiñ Ye Adaaye Khush Dili Mere Gadaa Parwar ki Hai Baaghiyoñ Se Kya Zarar Pahunchega Unki Zaat Ko Unpe To Nazr E Inayat Saaqi e Kauthar ki hai Sunniyoñ Daste Duaa Phailao Unke Waaste Paasbaani Zaate Wahid Per Zamane Bhar ki hai Ya llaahi Hazrat e Asjad Raza ki Khair Ho Na , Talab Humko Koi Bhi Gauhar O Zevar Ki Hai [ Contact Us :- 9929114267 ]

Kalam E Sayyedi Gulzaar E Millat

Naat E Rasool ﷺ Sarwar E Kaun 0 Makaan Ki Shaan O Shaukat Dekh kar Unnche Unncho ke Jhuke Sar Unki Azmat Dekh kar Khaare Koonwe me Luabe Mustafa Jis Dam Pada Ahle Makka Dang The Uski Halawat Dekh Kar Makkhiya'n Bhi Shahed Ki Padhti Hain Aaqa Par Durood Sharm Khao Najdiyon Unki Mohabbat Dekh kar Baab E Khaibar Kaanp Utha Aur Kufr Bhi Larza'n Hua Bas Khuda Ke Sher ki Shaan E Shuja'at Dekh kar Rashk Karti Hain Shaheedo'n Ki Jama'at Aaj Bhi Karbala Me Ibn E Haidar Ki Shahadat Dekh kar Jisko Nisbat Ho Gayi Hai Azhari Sarkar Se Ahl E Baatil Dang Hain Uski Jasarat Dekh Kar Najdiyon Ki Dekhna Aankhein Khuli Rah Jayengi Hashr Me Gulzar Aaqa Ki Shafa'at Dekh Kar •••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••• سرور کون و مکاں کی شان و شوکت دیکھ کر اونچے اونچوں کے سر جھکے ہیں ان کی شوکت دیکھ کر کھارے کنویں میں لعاب مصطفی جس دم پڑا اہل مکہ دنگ تھے اس کی حلاوت دیکھ کر مکھیاں بھی شہید کی پڑھتی ہیں آقا

Manqabat E Maula Ali By Sayyedi Gulzar E Millat

Har Samt Dhoom Har Samt Dhoom Jiske Tasawwuf Ki Machi Hai Wo Zaat Jisse Dor Wilayat Ki Chali Hai Wo Mera Maula Ali Hai Wo Mera Maula Ali Hai Hokar Sawaar Dosh E Nubuwwat Pe Jo Bole Meri Jabee'n Arsh E Ilahi Se Lagi Hai Wo Mera Maula Ali Hai Wo Mera Maula Ali Hai Main Ilm Ka Shaher Hoo'n Ali Uske Baab Hain Ye Qaul Fasana Nahi Farman E Nabi Hai Wo Mera Maula Ali Hai Wo Mera Maula Ali Hai Damaad E Nabi Sher E Khuda Fateh Khaibar Ye Shaan Sahaba Me Faqat Jisko Mili Hai Wo Mera Maula Ali Hai Wo Mera Maula Ali Hai Sahba Me Jiske Waste Sooraj Palat Gaya Tareef Me Aisa Na Koi Aur Kahee'n Hai Wo Mera Maula Ali Hai Wo Mera Maula Ali Hai Jibraeel Bhi Na Aaye'n Ijazat Liye Bagair Hai Kaun Jiske Ghar Ki Shaan Itni Badi Hai Wo Mera Maula Ali Hai Wo Mera Maula Ali Hai Jiske Hain Nabi Maula Ali Uske Hain Maula Gulzar Faqat Jisko Sa'adat Ye Mili Hai Wo Mera Maula Ali Hai Wo Mera Maula Ali Hai [ Contact Us

Kalam E Tajushshariyah Pe Zayed Ash'ar ( Maulana Rafeeq Raza Sahab )

Kalam :- Apne Rondoñ Pe Ziyafat Kijiye Dushmanoñ Se Unke Nafrat Kijiye Aashiqoñ Se Bas Muhabbat Kijiye Door Humse Jao Na Ae Jaanejaañ Chehra E Asjad Me Tal'at Kijiye Dekhna Hai Chehra E Akhtar Jise Mere Asjad Ki Ziyarat Kijiye Daaman E Akhtar Raza Mil Jayega Daaman E Asjad Ki Bey'at Kijiye Koyi Bhi Tehqiq Na Kijiye Qubool Bas Raza Per Khatm Hujjat Kijiye Aayenge Fitne Abhi Lakhoñ Yahañ Naam E Akhtar Leke Rukhsat Kijiye Koyi Shaami Aaye Jaye Kya Garaz Bas Bareilly Se Muhabbat Kijiye Turbat E Akhtar(Murshid) Se Aati Hai Sada Mere Asjad Se Muhabbat Kijiye Naaraê Tajushshariyah Maar Kar Sulhe Kulli Per Qayamat Kijiye Dar Ba Dar Phirne Se Kya Hai Fayda Razviyyat Per Isteqamat Kijiye Unke Dar Se Kya Nahiñ Humko Mila Unhiñ Ke Dar Se Izhare Haajat Kijiye Choom Murshid Ke Noorani Qadam Khud Pe Aasañ Raah E Jannat Kijiye Kya Kisi Se Paya Is Dar Ke Siwa Pehle To Iski Wazahat Kijiye Jo Mila Jitna Mila Kis

Manqabat E Tajushshariyah

Dhoondte Dhoondte Is Dehr Meñ Dhoondte Dhoondte Is Dehr Meñ Thak Jaoge Aesa Murshid Na Zamane Meñ Kahiñ Paoge Jab Kabhi Shehre Bareilly Ki Taraf Aaoge Unke Rauze se Madine Ki Hawa Paoge Haiñ Woh Wali Ibne Wali Haiñ Woh Sakhi Ibne Sakhi  Unke Darwaze Se Khali Na Kabhi Aaoge Aansuoñ Ab Meri Aankhoñ Hi Me Rehna Seekho Daaman E Taj E Shariyat Na Kahiñ Paoge Meri Roti Hui Aankhoñ Ne Pukara Hai Tumheñ Ae Mere Sheikh Mere Khwaab Meñ Kab Aaoge Kya Mere Ghar Ki Udasi Na Kabhi Jayegi Kya Gareeboñ Ke Yahañ Ab Na Kabhi Aaoge Kon Sunta Hai Yahañ Baat Fugane Darwesh Dil E Betab Liye Kis Ke Dar Jaoge [ Contact : 9929114267 ]

Kalam E Raza Or Tazmeen ( Maulana Rafeeq Qadri )

Ne'mateñ Baañt Ta Us Ke Dar Per Koyi Deewana Ya Anjaan Gaya Koyi Jinnat Gaya Ya Insan Gaya Uske Altaf O Inayaat Pe Qurban Gaya Ne'mateñ Baañt Ta Jis Samt Woh Zeeshan Gaya Sath Hi Munshi E Rehmat Ka Qalam Daan Gaya Ishq Woh Ishq Jo Sar Mad Bana Mansoor Raha Lab Haiñ Woh Lab Jo Tere Zikr Se Masroor Raha Zehen Woh Zehen Tasawwur Se Makhmoor Raha Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Se Ma'moor Raha Sar Hai Woh Sar Jo Tere Qadmoñ Pe Qurban Gaya Midhat E Sayyed E Kaunain Hai Fazl O Ikraam Is Amal Se Mujhe Milta Hai Sukoon O Aaram Kabhi Socha Hi Nahiñ Hoga Mera Kya Anjaam Unheñ Jana Unheñ Mana Na Rakha Gair Se Kaam  Lillahil Hamd Me Duniya Se Musalman Gaya Jadde Hasnain Nahi Malik E Jannat Na Sahi Tumko Sarkar Se Ummeed E Shafa'at Na Sahi Karam O Jood O Sakha Chashm E Nubuwwat Na Sahi Aur Tum Per Mere Aaqa Ki Inayat Na Sahi Najdiyoñ Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya Haañ Woh Haiñ Sahib E Me'raj Madad Maang Unse

Manqabat E Tajushshariyah By Aaftab Cassim Sahab

Waah! Kya Husn He Waah! Kya Husn He, Ay Taaj e Shariah Tera Dekha Jis Ne Bhi Tujhe, Ho Gaya Shayda Tera Aala Hazrat Ke Ho Tum, Tum Ho Raza Ke Pyaare, Ghaus o Khwaja Se, Nabi Tuk, He Ye Rishta Tera Fakhr e Azhar Hee Nahi, Balke He Tu Fakhre Zamaan Sayyidi Mufti e Azam, Jo He Naana Tera Qaadiri Faiz He Jaari, Teri Turbat Pe Shaha Kabhi Lawta Nahi Khaali, Ko-ee Mangta Tera Dekh Ke Tal-at e Mawla, Tu Ne Jaan Kar Di Nisaar Jaan e Aalam Ne Kiya, Qabr Ko Taabaan Tera Qabr Me Jaate Hee, Karne Lage Hum Sub Pe Karam Taa Qiyaamat Rahe, Mangto Pe, Ye Saaya Tera Qutbe Dawraan He Tu Hee, He Tu Zamaane Ka Imaam He Yahee Qawle Zia, He Yahee Rutbah Tera Me To Murshid Hee Kahunga, Ke Ho Murshid Ke Habeeb Yaani Asjad Me, Pidar Me, Nahi Mera Tera Sulhe-Kulli Ho, Ke Najdi Ho, Ya Minhaji Ho Khawf Se Bhaag Uthay, Dekh Ke Chehra Tera Bikte Hain Bik Gaye Bik Jadenge A'da Tere Na Bika He Na Bikega Kabhi Kut-ta Tera Dar e Akhtar Ke Jo Sag Hain, Nahi Pyaase