Posts

Showing posts from April 16, 2020

Kalam E Huzoor Gulzar E Millat

Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu.... Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu.... Rahmate Haq Se Baade Sabaa jab Chali... Mustafa Ke Chaman Me Khili Do Kali... Jinki Maañ Fatima Aur Baba Ali... Deene Islaam Ko Jinse Shohrat Mili... Deen ki Rag Me Jaari Hai Unka Lahoo... Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu.... Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu.... Aayi Aulad E Shabbir Waasit Me Jab... Ahle Hindustañ Pe Huaa Fazl E Rab... Saahibe Daawat-tus-sugra Jinka Laqab... Shahre Waasit Se Wo Bilgram Aaye Tab... Naara E Haidari Goonj Uthaa Chaar Soo.... Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu... Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu.... Unki Aulad Me Phool Jitne Khile... Kuchh To Marhehra Aur Kuch Madine Gye... Janasheeñ Ek Aake Masauli Base... Qutbe Paasa Ke Pehle Khalifa Bane... Khushbu E Panjtan Bas Gayi Chaar Soo... Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu... Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu Allahu..

Munawwar Meri Aankhoñ Ko (Tazmeen)

Mere Dil Ki Bhi Hasrat Puri Ae Mere Shaha Kar Deñ Madine Me Mujhe Do(2) Gaz Zameeñ Aaqa Ata Kar Deñ Karam Ki Ek Nazar Mujh Per Shahe Kaun O Makañ Kar Deñ Munawwar Meri Aankhoñ Ko Mere Shamsudduha Kar Deñ Gamoñ Ki Dhup Me Woh Saya E Zulfe Duta Kar Deñ Zabañ Bu Jahal Ki Muthi Me Kankar Ko Ata Kar Deñ Suraqa Ko Zameeñ Pakde Ishara Mustafa Kar Deñ Hussaiñ Ibn E Ali Fatahe Karbo Bala Kar Deñ Jahan Bani Ata Kar De Bhari Jqnnat Hiba Kar Deñ Nabi Mukhtar E Kul Haiñ Jis Ko Jo Chahe Ata Kar Deñ Ali Ke Waste Sehba Me Suraj Ko Bula Kar Deñ Janab E Gaus Ko Woh Tajdar E Auliya Kar Deñ Hukoomat Hind Ki Khwaja Ke Hathoñ Me Ata Kar Dñ Jahañ Me Unki Chalti Hai Woh Dam Meñ Kya Se Kya Kar Deñ Zmeeñ Ko Aasmañ Kar Deñ Suraiya Ko Sara Kar Deñ Badal Sakta Nahiñ Hargiz Umar Jo Faisla Kar Deñ Jo Na Mane To Uske Sar Ko Wo Tan Se Juda Kar Deñ Janab E Hazrat E Siddiaue Un Per Sab Fida Kar Deñ Nabi Se Jo Hai Begana Use Dil Se Juda Kar Deñ Pidar Madar

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne

Mat Pucho Bareilly Me Humne 100 Saal Me Kya Kya Dekha Hai Darbar E Raza Me Humne Firdaus Ka Naqsha Dekha Hai Ambar Ko Barasta Dekha Hai Badal Ko Garajta Dekha Hai Rukhsat Pe Wo Fakhre Azhar Ki Lakhon Ko Tadapta Dekha Hai Ae Taj-E- Shariyat Ek Jhalak Chehre Ki Tere Pane Ke Liye ( Ae Murshid Mere Ek Jhalak Chehre Ki Tere Pane Ke Liye ) Lakhon Ko Tarasta Dekha Hai Lakhon Ko Tadapta Dekha Hai 100 Saal To Kya 100 Lakh Baras Woh Naaz Karega Qismat Per Jisne Bhi Humare Murshid Ka Woh Chand Sa Chehra Dekha Hai Jo Tumse Mila Gul Banke Khila Jo Tumse Phira Zillat Me Ghira Gustakhe Raza Ko To Humne Dar Dar Pe Bhatakta Dekha Hai Bachcho Se Raza KeJalta Hai Itna Sa Liye Muñh Phirta Hai Kya Tune Karoroñ Logoñ Ke Sailab Ko Behta Dekha Hai Jab Laute Bareilly Me Wapas Woh Misr Se Kar Ke Sar Uñcha Aamad Pe Woh Fakhre Azhar Ki Nana Ko Machalta Dekha Hai Masla Tha Azan E Sani Ka Murda Sunnat Kar Di Zinda  Tab Mere Mujaddid Ka Logon Ne Sikka Khanakta Dekha

Manqabt E Huzoor Tajushshariyah

POETIC TRIBUTES TO HUZOOR TAAJUSH SHARIAH Rehte He Bareilly Main, Kya Shaan Niraali He, Aaqa Ke Madine Tuk, Akhtar Ki Rasaai He Tu Qutb e Zamaana He, Tu Shaane Bareilly He, Kya Shaan Teri Murshid, Kya Baat Tumhari He Tayba Ka Wo Maykhana, Baghdad Ka Saagar He, Ay Shaahe Bareilly Tu, Baghdad Ka Saaqi He Tu Badr e Tariqat Hain, Tu Taaj e Shariat He, Tu Noor e Hidayat Hain, Aaqa Ka Fidaai He Jo Mufti e Azam Ke, Aashiq He Diwaane He, Har Ek Ne Murshid Se, Irfaan Ye Paaee He Baghdad o Bareilly Se, Nisbat To Zaroori He, Ay Ibn e Raza Tu Ne, Nisbat Ye Dilaaayi He Asjad Ko Shaha Tu Ne, Kya Khoob Sajaya He, Wo Jaam e Raza Tu Ne, Asjad Ko Pilaayi He Har Waqt Allama Ko, Apnaya Hai Akhtar Ne, Ye Shama'e Raza Baham Dono Ne Jalayi Hai Aftaab e Raza Ko Bhi, Apna Jo Banaaya He, Ye Teri Inaayat He, Faizaan e Ruhaani He Written By: Mufti Muhammad Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori

Dekhte Reh Gaye (Manqabat E TAJUSHSHARIYAH)

Dekhte Reh Gaye Dekhte Reh Gaye Husne Akhtar Raza Dekhte Reh Gaye Chehrae Rahsqe Maah Dekhte Reh Gaye Gulsitane Raza Khoob Phalta Raha Dushmanane Raza Dekhte Reh Gaye Jab Hue Tum Tulu' Mehro Maahe Falak Tere Rukh Ki Ziya Dekhte Reh Gaye Isteqamat Shari'at Pe Is Shaan Ki Dehr Ke Muqtada Dekhte Reh Gaye Dekheñ Tal'at Teri Asfiyane Jahañ Hum To Talwa Tera Dekhte Reh Gaye Husne Murshid Ki Shaukat Ka Kya Bayañ Hum To Asjad Raza Dekhte Reh Gaye Unko Zeeshan Alfaz Se Kya Garaz Tum Abas Qafiya Dekhte Reh Gaye

Dekhte Reh Gaye (Naat Shareef)

Dekhte Reh Gaye Husne Badrudduja Dekhte Reh Gaye  Chehrae Wadduha Dekhte Reh Gaye  Husne Iqra' To Dekha Tha Jibreel Ne Hum To Gaar E Hira Dekhte Reh Gaye  Chand Do Tukde Ho Kar Tasadduq Hua Dushmane Mustafa Dekhte Reh Gaye  Arsh Per Pahuñche Aaqa To Ruhe Ameeñ Sidratul Muntaha Dekhte Reh Gaye ( Fa Awhha Ila Abdihi Ma Awha : Al Qur'an ) (Yeh toor kujaa siphir to kya key 'arsh e 'ulaa bhi door raha Jihat sey waraa wisaal milaa yeh rif'at e shaan tumhare liye یہ طُور کُجا سِپِہر تو کیا کہ عرشِ عُلا بھی دور رہا جِہت سے ورا وِصال ملا یہ رفعتِ شاں تمہارے لئے) Rue Raushan Me Zulfe Siyah Dekh Kar Hum Duha Or Saja Dekhte Reh Gaye

Har Ibteda Se Pehle

HAR IBTEDA SE PEHLE HAR INTEHA KE BAAD NAAM E NABI BULAND HAI NAAM E KHUDA KE BAAD QATL E HUSAIN ASL ME MARGE YAZEED HAI ISLAM ZINDA HOTA HAI HAR KARBALA KE BAAD AEWAAN E NAJD KE JO PARAKHCHE UDA GAYA AAYA NA AISA PHIR KOI AHMED RAZA KE BAAD DUNIYA ME JITNE SUFI HAIN IS DAUR ME SUNO HUM SABKO MAANTE HAIN AKHTAR RAZA KE BAAD DUNIYA ME JITNE PEER HAIN IS DAUR ME SUNO HUM SABKO MAANTE HAIN ASJAD RAZA KE BAAD

Manqabt E Tahseen E Millat By Maulana Aaftab Cassim Sahab

Manqabt E Tahseen Miyañ Tahseen in Name and Character, Was Hazrat Tahseen Indeed The Beloved of Ustaz e Zaman, Was Hazrat Tahseen Indeed A Towering Sufi of His Era, Was Hazrat Tehseen Indeed A Pearl From The Treasures of Sufism, Was Hazrat Tahseen Indeed Truly Exemplary & Amazing, Was Hazrat Tahseen Indeed Beautiful, Radiant and Glowing, Was Hazrat Tahseen Indeed A Grand Muhad'dith & Mufakkir, Was Hazrat Tahseen Indeed An Eloquent Poet & Mystic, Was Hazrat Tahseen Indeed Dearly Loved By Mufti e Azam, Was Hazrat Tahseen Indeed Truly Cherished By Taajush Shariah, Was Hazrat Tahseen Indeed A Man of Wisdom & Integrity, Was Hazrat Tahseen Indeed Noble, Kind And Very Gentle, Was Hazrat Tahseen Indeed Bold, Courageous & Fearless, Was Hazrat Tahseen Indeed A Brave Qaadiri Razvi Lion, Was Hazrat Tahseen Indeed Sadrul Ulama & Fakhrul Ulama Was Hazrat Tahseen Indeed Revered

Kalam E Huzoor Aaftab Cassim Sahab Qiblah

Noorie Turbat Pe Aana Mera Kaam Hai NOORI TURBAT PE AANA MERA KAAM HE BAAB E RAHMAT DIKHANA TERA KAAM HE SAYYIDI MURSHIDI SHAAHE AKHTAR RAZA MUSTAFA SE MILAANA TERA KAAM HE SUNNIYO RAB KA TUM PAR YE EHSAAN HE GHAUS O KHWAJA RAZA KA YEH FAIZAAN HE MIL GAYA DEENO IMAAN RAZA KE TUFAYL MARTE DAMM TAK BACHAANA TERA KAAM HE AKHTAR E QAADIRI KA YE PAYGHAAM HE AWR ZIA KA YE E'LAAN E HAQ AAM HE JO BHI DUSHMAN NABI KA, WO DUSHMAN TERA DOOR UNKO BHAGAANA TERA KAAM HE TUJH PE MURSHID KI NAZRE KARAM TAAM HE JAAM E MURSHID PILAANA TERA KAAM HE ASJAD E QAADIRI, AB BA FAIZ E RAZA FAIZ E AKHTAR LUTAANA TERA KAAM HE FAIZE MURSHID SE JO BEHRAAWAR TAAM HAIN EK HUS-SAAM HAIN, EK HUM-MAAM HAIN DONO RAKHTE HE JALWA E AKHTAR RAZA FAIZ IN SE UTHAANA TERA KAAM HE DA-EEN GHAUSUL WARA BA-EEN KHWAJA PIYA PUSHT PAR HAI MERI SHAAHE AHMED RAZA SUNNIYO KHAUF KHAANE KI HAAJAT NAHI DIL SE INKO BULAANA TERA KAAM HE MASLAK E AALA HAZRAT PE

Waah Kya Jood O Karam With Tazmeen Of Maulana Rafeeq Raza Qadri

Waah Kya Jood O Karam  Jo Gada Aagaya Lekar Gaya Bada Tera Har Ghadi Faiz E Sakhawat Pe Hai Dariya Tera Rashq e Hatim Hua Jo Pa Gaya Tukda Tera Waah Kya Jood O Karam Hai Shahe Bataha Tera Naviñ Sunta Hi Nahiñ Mangane Wala Tera Kun ka Farma Diya Allah Ne Tum Ko To Mujeeb Sun Lo Ae Jaan E Masih Aap Haiñ Har Jaañ Ke Tabeeb Sab Ki Sunte Ho Duhai Kya Baeed Or  Qareeb Maiñ To Malik Hi Kahunga Ke Ho Malik Ke Habib Ya'ni Mehboob O Muhib Me Nahiñ Mera Tera Maksad E Aalam E Kul Tujh Pe Meri Jaañ Qurbañln Khushk O Tar Barg O Shajar Tere Hi Zere Farman Kya Hai Jo Tere Karam Me Nahiñ Ae Jane Jahan Aasmañ Khwan Zamiñ Khwan Zamana Mehmaan Sahibe Khana Laqab Kiska Hai Tera Tera Sange Hatim Dar E Shahan O Sikandar Pe Na Daal Dede Ek Boond Teri Humko Samundar Pe Na Daal Furqat E Sang E Huzoori Dil E Muztar Pe Na Daal  Tere Tukdoñ Se Pale Gair Ki Tjokar Pe Na Daal Jhidkiyañ Khayeñ Kahañ Chod Ke Sadqah Tera Raah E Mizañ Liye Jab B

Wallah Wallah :: Zindagi ye Nahi Hy Kisi ke Liye

Wallah Wallah ... Wallah Wallah Na'at Aasañ Nahiñ Na'at Aasañ Bhi Hai Aashiqi Chahiye Shayri Ke Liye Wallah wallah... Zindagi Yeh Nahiñ Hai Kisi Ke Liye Zindagi Hai Nabi Ki Nabi Ke Liye Wallah Wallah... Nasamajh Marte Haiñ Zindagi Ke Liye Jeena Marna Hai Sab Kuch Nabi Ke Liye Wallah wallah... Aish Karlo Yahañ Munkiroñ Chaar Din Mar Ke Tarsoge Is Zindagi Ke Liye Wallah wallah... Maslak e A'alahazrat Salamat Rahe Ek Pehchan Deen E Nabi Ke Liye Wallah wallah... Maslak e A'alahazrat Pe Qayim Raho Zindagi Di Gayi Hai Isi Ke Liye Wallah wallah... Jin ke Dil Me Hai Jalwe Tere Ishq Ke Woh Taraste Nahin Chandani Ke Liye Wallah wallah... Jin Ke Dil Me Ho Jalwe Tere Ishq Ke Chashma E Noor Hai Raushani Ke Liye Wallah wallah... Ae Naseem E Saba Un Se Keh Dw Zara Muztarib Hai Gada Haziri Ke Liye Wallah wallah... Woh Bulate Hain Koyi Yeh Aawaz De Dam Me Jaa Pahuñchuñ Maiñ Haziri Ke Liye