Waah Kya Jood O Karam With Tazmeen Of Maulana Rafeeq Raza Qadri

Waah Kya Jood O Karam 


Jo Gada Aagaya Lekar Gaya Bada Tera
Har Ghadi Faiz E Sakhawat Pe Hai Dariya Tera
Rashq e Hatim Hua Jo Pa Gaya Tukda Tera

Waah Kya Jood O Karam Hai Shahe Bataha Tera
Naviñ Sunta Hi Nahiñ Mangane Wala Tera


Kun ka Farma Diya Allah Ne Tum Ko To Mujeeb
Sun Lo Ae Jaan E Masih Aap Haiñ Har Jaañ Ke Tabeeb
Sab Ki Sunte Ho Duhai Kya Baeed Or  Qareeb

Maiñ To Malik Hi Kahunga Ke Ho Malik Ke Habib
Ya'ni Mehboob O Muhib Me Nahiñ Mera Tera


Maksad E Aalam E Kul Tujh Pe Meri Jaañ Qurbañln
Khushk O Tar Barg O Shajar Tere Hi Zere Farman
Kya Hai Jo Tere Karam Me Nahiñ Ae Jane Jahan

Aasmañ Khwan Zamiñ Khwan Zamana Mehmaan
Sahibe Khana Laqab Kiska Hai Tera Tera


Sange Hatim Dar E Shahan O Sikandar Pe Na Daal
Dede Ek Boond Teri Humko Samundar Pe Na Daal
Furqat E Sang E Huzoori Dil E Muztar Pe Na Daal 

Tere Tukdoñ Se Pale Gair Ki Tjokar Pe Na Daal
Jhidkiyañ Khayeñ Kahañ Chod Ke Sadqah Tera


Raah E Mizañ Liye Jab Bare Khata Jata Hai
Faisla Paa Ke Suye Naar Ki Raah Jata Hai
Koyi Kanoñ Me Mere Sher Suna Jana Jata

Dil Abas(th) Khauf Se Patta Sa Uda Jata Hai
Palla Halka Sahi Bhari Hai Bharosa Tera


Khwaro Zillat Me Ghira Tha To Inayat Me Liya
Jab Koyi Tha Na Mera Tune Himayat Me Liya
Qadri Kar Ke Mujhe Apni Iradat Me Liya

Tune Islam Diya Tune Jama'at Me Liya
Tu Kareem Ab Koyi Phirta Hai Atiyya Tera


Har Wali Gaus O Qutub Khwajah Haiñ Sab Unke Mutee'(Farmabardar)
Jaise Faryad Karo Un Se Hai Sab Par Wo Samee'(Sunne Wala)
Qadri Kaise Bayañ Kar Sake Unki Tausee'(Wus'at)

Teri Sarkar Me Lata Hai Raza Uako Shafee'(Shafa'at Karane Wala)
Jo Mera Gaus(th) Hai Aur Ladla Beta Tera

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne