Posts

Showing posts from July 23, 2022

Sarkar Ke Darbani Gar Zeest Ka Unwa(n) Ho Jaye

Sarkar Ke Dar Ki Darbani Gar Zeest Ka Unwa(n) Ho Jaye Qismat Pe Main Itna Naaz Karun Khud Naaz Bhi Naaza(n) Ho Jaye Bas Dil Me Tumhara Dard Rahe Or Dard Bada Be Dard Rahe Fir Dard Na Koi Dard Rahe Or Dard Hi Darma(n) Ho Jaye Gar Unka Paseena Mil Jaye Gul Rashk E Bahara Ho Jaye Jo Zarra Qadam Se Choo Jaye Khurshid Ba Dama(n) Ho Jaye Sarkar Ko Kilk e Fitrat Ne Har Rukh Se Mukammal Farmaya Aayina Bhi Gar Dekhe Unko Angusht Ba Danda(n) Ho Jaye Mukhtar e Do Aalam Hai(n) Aaqa Isbaat O Nafi Par Qadir Hain Wo Haa(n) Ko Nahi(n) Keh Dei(n)Pal Mei(n) Wo Chahe(n) Nahi(n) Haa(n) Ho Jaye Tareekh Batati Hai Akhtar Gar Zid Pe Ho Unka Deewana Toofa(n) Ko Paseena Aa Jaye Gardish Bhi Paresha(n) Ho Jaye •°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°• سرکار کے در کی دربانی گر زیست کا عنواں ہو جائے  قسمت پہ میں اتنا ناز کروں خود ناز بھی نازاں ہو جاۓ بس دل میں تمہارا درد رہے اور درد بڑا بے درد رہے پھر درد نہ کوئی درد رہے اور درد ہی درماں ہو جاۓ گر انکا پسینا مل جاۓ گل رشک بہاراں ہو جاۓ جو ذرہ قدم سے چھ