Posts

Showing posts from June 23, 2020

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Ziyae Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Ata e Kibriya Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Batata Huñ Me Kya Bankar Ziya Ul Mustafa Aaye Mere Dil Ki Sada Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Jamale Hafiz e Millat Nazar Aata Hai Jis Me Wo Chamakta Aayina Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Dua e Hazrat e Sadrushshariyah Ka Ye Samra Hai Hidayat Ki Sham'aa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Wahi Taqwa Wahi Fatwa Wahi Ilm o Amal Sab Kuch Wahi Akhtar Raza Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Bithaye Kyuñ Na Palkoñ Par Inheñ Apne Raza Wale Raza Khañ Ki Raza Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Pasha Gulzar Chiñta Taqwa e Ahmad Raza Ka Yooñ Mukammal Parsa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Ziyarat Aapki Tajushshariyah Ki Ziyarat Hai Ke Unke Humnawañ Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Furqat E Murshid Ki Wahshat

Furqat e Murshid Ki Wahshat Dil Se Jaa-e Khayr Se Me Bareilly Ko Chaluñ Woh Din Phir Aa-e Khayr Se Kaash Mere Dil Ko Murshid Ghar Banaa-e Khayr Se Mere Dil Me Roo e Akhtar Jagmagaa-e Khayr Se Qalb e Aasi Se Na Jaa-e Yaad e Akhtar Ki Mahak Har Ghari Har Waqt Murshid Yaad Aa-e Khayr Se Chashme Purnam Se Na Jaa-e Ishq e Akhtar Ki Namee Chashme Akhtar Ki Zia Un Me Samaa-e Khayr Se Qabr Me, Meri Madad Ko, Jub Wo Aa-e Khayr Se Uske Jalwo Se Lahad Bhi Jagmagaa-e Khayr Se Hijr Ke Sadme Mareez e Ishq Ab Kab Tak Saheñ Khwaab Me Aa Kar Zara Jalwa Dikhaa-e Khayr  Se Dar Badar Kyun Thokaren Khaa-e Bhala Shaida Tere Mast Rehte Haiñ Yeh Teri Ik Sada-e Khayr Se Zinda Baad Ay Mere Murshid, Mere Hazrat Zinda Baad Dil Mera Har Dum Yahee, Nara Lagaa-e Khayr Se Ghaus o Khwaja Awr Raza Ke Sadqe Me He lltija Yaad e Murshid Me Mujhe Yuñ Maut Aa-e Khayr Se Mufti e Azam Ke Faizaan e Tajal'li Aap Haiñ Aap Ke Jalwoñ Se Laakhon Jagmagaa-e Khayr Se