Furqat E Murshid Ki Wahshat
Furqat e Murshid Ki Wahshat Dil Se Jaa-e Khayr Se
Me Bareilly Ko Chaluñ Woh Din Phir Aa-e Khayr Se
Kaash Mere Dil Ko Murshid Ghar Banaa-e Khayr Se
Mere Dil Me Roo e Akhtar Jagmagaa-e Khayr Se
Qalb e Aasi Se Na Jaa-e Yaad e Akhtar Ki Mahak
Har Ghari Har Waqt Murshid Yaad Aa-e Khayr Se
Chashme Purnam Se Na Jaa-e Ishq e Akhtar Ki Namee
Chashme Akhtar Ki Zia Un Me Samaa-e Khayr Se
Qabr Me, Meri Madad Ko, Jub Wo Aa-e Khayr Se
Uske Jalwo Se Lahad Bhi Jagmagaa-e Khayr Se
Hijr Ke Sadme Mareez e Ishq Ab Kab Tak Saheñ
Khwaab Me Aa Kar Zara Jalwa Dikhaa-e Khayr Se
Dar Badar Kyun Thokaren Khaa-e Bhala Shaida Tere
Mast Rehte Haiñ Yeh Teri Ik Sada-e Khayr Se
Zinda Baad Ay Mere Murshid, Mere Hazrat Zinda Baad
Dil Mera Har Dum Yahee, Nara Lagaa-e Khayr Se
Ghaus o Khwaja Awr Raza Ke Sadqe Me He lltija
Yaad e Murshid Me Mujhe Yuñ Maut Aa-e Khayr Se
Mufti e Azam Ke Faizaan e Tajal'li Aap Haiñ
Aap Ke Jalwoñ Se Laakhon Jagmagaa-e Khayr Se
Tere Jalwe Bas Gaye Haiñ Roo e Asjad Me Shaha
Tere Hee Jalwo Me Asjad Jagmagaa-e Khayr Se
He Taman'na e Dili Bahre Zia ul Mustafa
Marqad e Murshid Pe Ye Bhi Aa-e Jaa-e Khayr Se
Jal Maray Dushman Tere, Ho Jaa-eñ Khush Ahle Wafa
Aftaab e Qaadiri Jub Gungunaa-e Khayr Se
Sag e Mufti e Azam
Muhammad Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori
IMAM MUSTAFA RAZA
RESEARCH CENTRE
MASLAKE AALA HAZRAT
ZINDA BAAD
Comments
Post a Comment