Mat Pucho Bareilly Meñ Humne


Mat Pucho Bareilly Me Humne 100 Saal Me Kya Kya Dekha Hai
Darbar E Raza Me Humne Firdaus Ka Naqsha Dekha Hai

Ambar Ko Barasta Dekha Hai Badal Ko Garajta Dekha Hai
Rukhsat Pe Wo Fakhre Azhar Ki Lakhon Ko Tadapta Dekha Hai

Ae Taj-E- Shariyat Ek Jhalak Chehre Ki Tere Pane Ke Liye
( Ae Murshid Mere Ek Jhalak Chehre Ki Tere Pane Ke Liye )
Lakhon Ko Tarasta Dekha Hai Lakhon Ko Tadapta Dekha Hai

100 Saal To Kya 100 Lakh Baras Woh Naaz Karega Qismat Per
Jisne Bhi Humare Murshid Ka Woh Chand Sa Chehra Dekha Hai

Jo Tumse Mila Gul Banke Khila Jo Tumse Phira Zillat Me Ghira
Gustakhe Raza Ko To Humne Dar Dar Pe Bhatakta Dekha Hai

Bachcho Se Raza KeJalta Hai Itna Sa Liye Muñh Phirta Hai
Kya Tune Karoroñ Logoñ Ke Sailab Ko Behta Dekha Hai

Jab Laute Bareilly Me Wapas Woh Misr Se Kar Ke Sar Uñcha
Aamad Pe Woh Fakhre Azhar Ki Nana Ko Machalta Dekha Hai

Masla Tha Azan E Sani Ka Murda Sunnat Kar Di Zinda 
Tab Mere Mujaddid Ka Logon Ne Sikka Khanakta Dekha Hai

Nasbandi Ka Jab Qanoon Bana Utha Woh Bareilly Ka Dulha
Us Zalim Hukoomat Ka Subne Takhta Hi Palat Ta Dekha Hai

Puchega Khuda Gar Laya Hai Kya Kya Pesh Maiñ Karta Pesh E Khuda
Kar Dunga Tujhe Ab Peshe Khuda Khud Unko Farmata Dekha Hai 

Ab Tu Hai Mera Aur Maiñ Hooñ Tera
Khud Unko Farmata Dekha Hai

Bethe Haiñ Raza Ki Masnad per Kis Shan Se Woh Dekho To Zara
Deewanoñ Ne Unke Chehre Me Murshid Ka Jalwa Dekha Hai..




Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye