Munawwar Meri Aankhoñ Ko (Tazmeen)
Mere Dil Ki Bhi Hasrat Puri Ae Mere Shaha Kar Deñ
Madine Me Mujhe Do(2) Gaz Zameeñ Aaqa Ata Kar Deñ
Karam Ki Ek Nazar Mujh Per Shahe Kaun O Makañ Kar Deñ
Munawwar Meri Aankhoñ Ko Mere Shamsudduha Kar Deñ
Gamoñ Ki Dhup Me Woh Saya E Zulfe Duta Kar Deñ
Zabañ Bu Jahal Ki Muthi Me Kankar Ko Ata Kar Deñ
Suraqa Ko Zameeñ Pakde Ishara Mustafa Kar Deñ
Hussaiñ Ibn E Ali Fatahe Karbo Bala Kar Deñ
Jahan Bani Ata Kar De Bhari Jqnnat Hiba Kar Deñ
Nabi Mukhtar E Kul Haiñ Jis Ko Jo Chahe Ata Kar Deñ
Ali Ke Waste Sehba Me Suraj Ko Bula Kar Deñ
Janab E Gaus Ko Woh Tajdar E Auliya Kar Deñ
Hukoomat Hind Ki Khwaja Ke Hathoñ Me Ata Kar Dñ
Jahañ Me Unki Chalti Hai Woh Dam Meñ Kya Se Kya Kar Deñ
Zmeeñ Ko Aasmañ Kar Deñ Suraiya Ko Sara Kar Deñ
Badal Sakta Nahiñ Hargiz Umar Jo Faisla Kar Deñ
Jo Na Mane To Uske Sar Ko Wo Tan Se Juda Kar Deñ
Janab E Hazrat E Siddiaue Un Per Sab Fida Kar Deñ
Nabi Se Jo Hai Begana Use Dil Se Juda Kar Deñ
Pidar Madar Biradar Maal O Jañ Un Per Fida Kar Deñ
Mere Taj E Shariyat Ka Himayat Faiz Hai Tujh Per
Shafa'at Khud Karenge Jab Teri wo Shafae Mahshar
Raza Ke Ishq Me Palta Hooñ Phir Kis Baat Ka Ho Dar
Himayat Umr Guzre Mustafa Ki Naat Padh Padh Kar
Mujhe Kya Fikr Ho AKHTAR Mere Yawar Haiñ Woh Yawar
Balaoñ Ko Meri Jo Khud Giriftar E Bala Kar Deñ
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
( Zayid Ash'ar )
Bula Kar Deñ Bitha Kar Deñ utha Kar Deñ Ata Kardeñ
Nabi Mukhtar E Kul Haiñ jis Ko Jo Chaheñ Ata Kar Deñ
Tamanna E Dil E Ashraf Bas Itni Hai Sar E Mehshar
Jab Aaqa Jaam E Kauthar Deñ Lab E Aqdas Laga Kar Deñ
Comments
Post a Comment