Manqabt E Huzoor Tajushshariyah
POETIC TRIBUTES TO HUZOOR TAAJUSH SHARIAH
Rehte He Bareilly Main, Kya Shaan Niraali He,
Aaqa Ke Madine Tuk, Akhtar Ki Rasaai He
Tu Qutb e Zamaana He, Tu Shaane Bareilly He,
Kya Shaan Teri Murshid, Kya Baat Tumhari He
Tayba Ka Wo Maykhana, Baghdad Ka Saagar He,
Ay Shaahe Bareilly Tu, Baghdad Ka Saaqi He
Tu Badr e Tariqat Hain, Tu Taaj e Shariat He,
Tu Noor e Hidayat Hain, Aaqa Ka Fidaai He
Jo Mufti e Azam Ke, Aashiq He Diwaane He,
Har Ek Ne Murshid Se, Irfaan Ye Paaee He
Baghdad o Bareilly Se, Nisbat To Zaroori He,
Ay Ibn e Raza Tu Ne, Nisbat Ye Dilaaayi He
Asjad Ko Shaha Tu Ne, Kya Khoob Sajaya He,
Wo Jaam e Raza Tu Ne, Asjad Ko Pilaayi He
Har Waqt Allama Ko, Apnaya Hai Akhtar Ne,
Ye Shama'e Raza Baham Dono Ne Jalayi Hai
Aftaab e Raza Ko Bhi, Apna Jo Banaaya He,
Ye Teri Inaayat He, Faizaan e Ruhaani He
Written By:
Mufti Muhammad Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori
Comments
Post a Comment