Dekhte Reh Gaye (Naat Shareef)
Dekhte Reh Gaye
Husne Badrudduja Dekhte Reh Gaye
Chehrae Wadduha Dekhte Reh Gaye
Husne Iqra' To Dekha Tha Jibreel Ne
Hum To Gaar E Hira Dekhte Reh Gaye
Chand Do Tukde Ho Kar Tasadduq Hua
Dushmane Mustafa Dekhte Reh Gaye
Arsh Per Pahuñche Aaqa To Ruhe Ameeñ
Sidratul Muntaha Dekhte Reh Gaye
( Fa Awhha Ila Abdihi Ma Awha : Al Qur'an )
(Yeh toor kujaa siphir to kya key 'arsh e 'ulaa bhi door raha
Jihat sey waraa wisaal milaa yeh rif'at e shaan tumhare liye
یہ طُور کُجا سِپِہر تو کیا کہ عرشِ عُلا بھی دور رہا
جِہت سے ورا وِصال ملا یہ رفعتِ شاں تمہارے لئے)
Rue Raushan Me Zulfe Siyah Dekh Kar
Hum Duha Or Saja Dekhte Reh Gaye
Comments
Post a Comment