Manqabat E Tajushshariyah By Aaftab Cassim Sahab

Waah! Kya Husn He


Waah! Kya Husn He, Ay Taaj e Shariah Tera
Dekha Jis Ne Bhi Tujhe, Ho Gaya Shayda Tera
Aala Hazrat Ke Ho Tum, Tum Ho Raza Ke Pyaare,
Ghaus o Khwaja Se, Nabi Tuk, He Ye Rishta Tera
Fakhr e Azhar Hee Nahi, Balke He Tu Fakhre Zamaan
Sayyidi Mufti e Azam, Jo He Naana Tera
Qaadiri Faiz He Jaari, Teri Turbat Pe Shaha
Kabhi Lawta Nahi Khaali, Ko-ee Mangta Tera
Dekh Ke Tal-at e Mawla, Tu Ne Jaan Kar Di Nisaar
Jaan e Aalam Ne Kiya, Qabr Ko Taabaan Tera
Qabr Me Jaate Hee, Karne Lage Hum Sub Pe Karam
Taa Qiyaamat Rahe, Mangto Pe, Ye Saaya Tera


Qutbe Dawraan He Tu Hee, He Tu Zamaane Ka Imaam
He Yahee Qawle Zia, He Yahee Rutbah Tera
Me To Murshid Hee Kahunga, Ke Ho Murshid Ke Habeeb
Yaani Asjad Me, Pidar Me, Nahi Mera Tera
Sulhe-Kulli Ho, Ke Najdi Ho, Ya Minhaji Ho
Khawf Se Bhaag Uthay, Dekh Ke Chehra Tera
Bikte Hain Bik Gaye Bik Jadenge A'da Tere
Na Bika He Na Bikega Kabhi Kut-ta Tera
Dar e Akhtar Ke Jo Sag Hain, Nahi Pyaase Rehte
Unke Haatho Me Bhi He, Ishq Ka Pyaala Tera
Aaftaab e Na-tawaan He Dare Akhtar Ka Gada
Hashr Tuk Mere Galay Me Rahe Pat-ta Tera


Sage Mufti e Azam
Muhammad Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori


[ Contact us :- 9929114267 ]

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne