Kalam E Raza Or Tazmeen ( Maulana Rafeeq Qadri )

Ne'mateñ Baañt Ta

Us Ke Dar Per Koyi Deewana Ya Anjaan Gaya
Koyi Jinnat Gaya Ya Insan Gaya
Uske Altaf O Inayaat Pe Qurban Gaya

Ne'mateñ Baañt Ta Jis Samt Woh Zeeshan Gaya
Sath Hi Munshi E Rehmat Ka Qalam Daan Gaya


Ishq Woh Ishq Jo Sar Mad Bana Mansoor Raha
Lab Haiñ Woh Lab Jo Tere Zikr Se Masroor Raha
Zehen Woh Zehen Tasawwur Se Makhmoor Raha

Dil Hai Woh Dil Jo Teri Yaad Se Ma'moor Raha
Sar Hai Woh Sar Jo Tere Qadmoñ Pe Qurban Gaya


Midhat E Sayyed E Kaunain Hai Fazl O Ikraam
Is Amal Se Mujhe Milta Hai Sukoon O Aaram
Kabhi Socha Hi Nahiñ Hoga Mera Kya Anjaam

Unheñ Jana Unheñ Mana Na Rakha Gair Se Kaam 
Lillahil Hamd Me Duniya Se Musalman Gaya


Jadde Hasnain Nahi Malik E Jannat Na Sahi
Tumko Sarkar Se Ummeed E Shafa'at Na Sahi
Karam O Jood O Sakha Chashm E Nubuwwat Na Sahi

Aur Tum Per Mere Aaqa Ki Inayat Na Sahi
Najdiyoñ Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya


Haañ Woh Haiñ Sahib E Me'raj Madad Maang Unse
Unke Sar Fazl Ka Hai Taaj Madad Maang Unse
Woh Haiñ Mukhtaar Ae Mohtaaj Madad Maang Unse

Aaj Le Unki Panah Aaj Madad Maang Unse
Ohir Na Manenge Qayamat Me Agar Maan Gaya


Lene Bakhshish Ki Sanad Sab To Madine Pahuñche
Dekhne Jalwa E Khud Sab To Madine Pahuñche
Haaye Shaida Ki Rasad Sab To Madine Pahuñche

Jaan O Dil Hosh O Khirat Sab To Madine Pahuñche 
Tum Nahiñ Chalte Raza Sara To Saaman Gaya


[ Contact Us :- 9929114267 ]

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne