Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye By Maulana Rafeeq Raza Qadri Sahab

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye

Har Jigar Me Dard Apna, Meetha Meetha Chor Kar
Chal Diye Jab Tum Zamane, Bhar Ko Tanha Chor Kar

Khwab Me Aakar Dikhao, Hum Ko Bhi Aye Jaa(n) Kabhi
Konsi Duniya Basayi, Ttumne Duniya Chor Kar

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye

Mehfil-e Paak Me Bethe Hai(n) Giriyagar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye
Leke Chashman-e Tar Muntazir Hai Nazar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye

Sham'â Raushan Hai Per Raushani Hai Nahi(n), Chayi(n) Taarikiya(n) Har Jagah Har Ghadi
Karne Hum Sab Ke Roshan Quloob O Jigar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye

Jalwa Farmaiye Duriya(n) Door Ho(n), Dekh Kar Jalwa Phir Aankh Purnoor Ho
Apne Khadim Ke Sang Kijiye Phir Safar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye

Aapke Aane Ka Rehta Hai Intezar, Har Ghadi Har Jagah Bas Yahi Hai Khumar
Dhoondta Dhoondta Aagaya Phir Se Ghar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye

Raat Roshan Thi Jab - Aap The Saamne, Din Bhi Taarik Ab Lag Raha Hai Hume(n)
Subh-e Taarik Ko Phir Se Karne Sahar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye

Dil Dukhane Lage - Sab Rulane Lage, Aapke Baad Apne Begane Lage
Khasta Jaano(n) Ki Lijiye Hamari Khabar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye


Hai Jamal Aapka - Aap Hi Ka Gazab, Shah Asjad Raza Khan Aate Hai(n) Jab
Kehte Hai(n) Dekh Kar Unko Ahle Nazar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye


Ek Hussam Hai - Ek Humam Hai, Jo Jale Inse Badbakht Nakam Hai
Inke Sadqe Kabhi Apne Mangta Ke Ghar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye

Kya Bake Jata Hai Qadri Sun Zara, Ab Humara Sahara Hai Asjad Raza
Hai Mazamee(n) Taweel - Arz Hai Mukhtasar, Mere Tajushariy'ah Chale Aaiye

Murshid Aa Jaiye, Murshid Aa Jaiye

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne