Yeh Raza Ka Chaman
Aaj Ikattha Hai(n) Danish Warane Watan
Ya'ani Ulema Wa Sho'ara E Fikr Aur Fan
Sahibane Sukhan Hasile Anjuman
Nuqta Daan O Fasihane Ahle Sunan
Hai Adeeb O Khateebe Zuban O Sukhan
Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman
Azamate Sidqe Siddiq E Akbar Liye
Adle Farooqe Aazam Ka Mazhqr Liye
Sabre Usmañ Gani Ka Samandar Liye
Partave Daste Baazue Haider Liye
Nik'hate Range Hazrate Hussain O Hassan
Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman
Isme Ajmeri Khwajah Ki Hai Khwajagi
Sayyed Mas'ood Gazi Ka Gulshan Yahi
Yeh Hai Phulwari Ashraf Jahañgir Ki
Range Booe Bareilly Wa Marehrawi
Ispe Saya Figan Panjae Panjatan
Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman
Fazle Haq Khairabadi Ka Isme Usool
Iske Hami Badayuñ Ke Fazle Rasool
Shah Marehrawi Sayyed Aale Rasool
Kar Liya Peer Ne Bhi Raza Ko Qubool
Is Liye Us Pe Naazañ Hai Ahle Sunan
Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman
Mustafa Ke Raza Ki Bahareñ Liye
Lala O Gul Mehekte Lehekte Hue
Jagmagate Charagañ Ka Noor Liye
Noor Hi Noor Hai Jis Taraf Dekhiye
Noor Ki Sham'a Hai Noor Ki Anjuman
Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman
Dekho Ahmed Raza Khañ Ke Neze Ki Maar
Pad Gaya Jisse Aa'da Ke Sine Me Gaar
Hashmati Sher Be Shahe Sunnat Ka Waar
Bach Ke Jaane Na Paye Wahabi Shikar
Zarbe Sadr-Ush-Shriy'ah Hai Batil Shikan
Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman
Iske Rehañ Ki Ajmal Mehek Char Soo
Iske Akhtar Ki Azhar Minash-Shams-Hoo
Ya Ilahi Salamat Rahe Hu - Ba - Hu
Mufti E Aazam E Hind Ki Aabro
Hai Duaon Me Masroof Ahle Sunan
Yeh Raza Ka Chaman Hai Raza Ka Chaman
Comments
Post a Comment