Manqabat-e Huzoor Tajushariyah By Allama Salman Raza FAREEDI Sahab

Rehnuma-e Raah-e Jannat Hai Tera Naqsh-e Qadam
Raah-e Jannat Tay Na Hogi Yera Rasta Chor Kar

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani
Salam Aye Murshid-e Kamil, Salam Aye Sheikh-e Lasani
Salam Aye Sayyedi Tajushariyah, Faiz -e Yazdani


Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Jamal-e Hujjat Ul Islam Aqs-e Mufti E Aazam
Salam Aye Gauth Ke Nayib, Raza Ke Zille Roohani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani



Saje Hai(n) Charkh-e Hikmat Per Tere Afkar Ke Taare
Dilo(n) Ko Noor Deti Hai, Tere Jalwo(n) Ki Taabani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Uloom-e Aala Hazrat Ka Khazina Yera Seena Hai
Salam Aye Sayyedi Akhtar, Ziya E Bazm-e Irfani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Tere Alfaz Hai(n) Ya Maa'rifat Ke Laa'l O Gauhar Hai(n)
Adab Ke Saa'di E Dora(n), Sukhan Ke Jami E Sani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Teri Nisbat Ko Apnaye Jise Ae'zaz Pana Ho
Tere Daaman Se Lag Jaye, Jise Qismat Ho Chamkani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Tera Naqsha Nigah-e Dehr Ne Mehfooz Rakha Hai
Tere Husn-e Atam Ki, Aaj Bhi Duniya Hai Deewani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Salam Aye Woh Ki Mana Fakhr E Azhar Jis Ko Azhar Ne
Salam Aye Woh Jise, Haasil Hui Kaa'be Ki Mehmani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Salam Aye Mard-e Momin, Rehbar-e Haq, Paasban-e Deen
Tere Hisse Me Aayi, Baag E Millat Ki Nigehbani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Bacha Lo Hum Ko Aa Kar, Waqt Ki Be Taad Lehro(n) Se
Safina Beech Dariya Me Hai, Aur Aayi Hai Tugyani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Tere Ghar Ki Bahare(n) Din Ba Din Ho(n) Auj Per Shaha
Mehekta Hi Rahe Ye Ilm O Fan Ka Baag-e Noorani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Fareedi Se Na Ho Paya Raqam, Ye Nagma-e Mid'hat
Khusha Tere Faza'il, Aah Apni Tang Daamani

Sheikh-e Lasani, Faiz-e Yazdani


Salam Aye Murshid-e Kamil, Salam Aye Sheikh-e Lasani
Salam Aye Sayyedi Tajushariyah, Faiz-e Yazdani

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne