A Tribute To Sayyedi Tajushshariyah By Aaftab Cassim Sahab
TRIBUTE IN THE LOVE OF MY MASTER HUZOOR SAYYIDI TAAJUSH SHARI'AH
Auron Se Kya Gharaz Mujhe , Behtar He Saamne
Faiz e Raza Ke Shakl Me, Akhtar He Saamne
Murshid Ko Jab-ke Paaya Tha Rozay Ke Ru Ba Ru
Tab Haal e Dil Sunaya Tha Rozay Ke Ru Ba Ru
Akhtar Raza Huzoor Ke Dar Ke Faqeer Hain
Is Waaste, Woh Ahle Sunan Ke Ameer Hain
Juz Akhtar e Raza Koi Batla Ai Hamnashin
Jo Gham me Saath De Sake Aisa Bhi Hai Kahin
Is Daur e Pur Fitan Mein Karen Kispe Ab Yaqeen
Rahbar Jo Apne Khaas Thay Ab Woh Rahe Nahin
Dil Pe Tumhari Yaad ka Pahra Ho Har Ghari
Nazron Ke Saamne Rukh e Zeba Ho Har Ghari
Bachna Agar Hai Hashr Mein Naar e Jaheem Se
Ai Aftaab Lau Laga Shaykh e Kareem Se
Teri Madad Ko Aayenge Woh Ek Aah Mein
Ai Aftaab Dil Bichha Murshid ki Raah mein
SAG E MUFTI E AZAM MUHAMMAD AFTHAB CASSIM QAADIRI RAZVI NOORI
[ I Attempted to write few Matlas (introductory couplets) on different themes to form a single poetic
bouquet in the love of my Master Huzoor Sayyidi Taajush Shariah Allama Mufti Muhammed Akhtar Raza
Khan Qibla. Special Thanks to Al Haj Asad Iqbal for his support and recitation of these couplets. ]
[ Contact Us :- 9929114267 ]
Comments
Post a Comment