Manqabat E Tajushshariyah By Aaftab Cassim Sahab


Bareilly Me Hai



Akhtar e Ahle Sunnat Bareilly Me He
Taajedaar e Karaamat Bareilly Me He
Gar Che Dunya Me Ab To Nahi Wo Rahe
Mera Taajush Shari'ah Bareilly Me He


Shaykh Kaamil Ka Saaya Hum Sub Pe Rahe
Aashiqaan e Raza Pe Barasta Rahe
Saare Ushaaq Ke Dil Ab To Tukre Huwe
Mere Taajush Shariah Yaha Na Rahe


Saare Ushaaq Ke Aankhe Purnam Huwe
Shawq Deedar Me Ashk Bahne Lage
Aashiqaan e Raza Sub Ye Kehne Lage
Maslak e Aala Hazrat Salaamat Rahe


Allah Acha Rakhe, Allah Acha Rakhe
Ye Dua wo Hamesha Karte Rahe
Asjad e Qaadiri Pe Hamesha Rahe
Unka Dast e Karam, Unka Saaya Rahe


Aashiq e Mustafa Chal Diya Dahr Se
Ishq e Aqaa Me Band Unke Aankhe Huwe
Jism Murshid Ba-zaahir Bareilly Me He
Rooh e Akhtar To Haazir Madine Me He


Asmaan Se Farishte Utar Aaye He
Rooh e Akhtar Raza Ko Sajaane Lage
Waqt e Maghrib Wudu Me Zameen Se Chale
Zikr e Rab e Ula Me Yahaan se Chale


Aala Hazrat Se Ab Wo To Milne Gaye
Mufti e Azam e Hind se Jaa Mile
Shah e Haamid Raza Ke Nagine Gaye
Apne Baba Se Laghte Jigar Mil Gaye


Jaate Jaate Bulaya Bareilly Mujhe
Aftaab e Raza Ye Karam Dekhiye
Baad Rehlat Bhi Zinda He Murshid Mere
Kar Ke Elaan Ye, Soo e Jannat Chale




Penned By Sage Mufti Azam Muhammad Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori
Imam Mustafa Raza Research Centre


[ Contact Us :- 9929114267 ]

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne