Manqabat E Sadrushshariyah By Aaftab Cassim Sahab


Amjad Ali Mere ( My Amjad Ali )


UP ke Aftaab Hain Amjad Ali Mere
Ghosi Ke Mahtaab Hain Amjad Ali Mere


( The Bright Sun of U.P. is My Amjad Ali
The Radiant Moon of Ghosi is My Amjad Ali )


Akhtar Raza Ne Kar Diya E'laan Bar Mala
Faiz e Raza Ke Baab Hain Amjad Ali Mere


( Hazrat Akhtar Raza Openly Announced;
The Gate To Raza's Blessings is My Amjadi Ali )


Har Ek Ne Ye Maana He, Har Ek Ne Kaha
Buzm e Raza Ke Taab He Hain Amjad Ali Mere


( Each & Every One Accepted, Every One Said
The Glow of Raza's Assembly is My Amjad Ali )


Padh Kar Jise Rasool Ki Ulfat Ho Aashkaar
Wo Ishq Ki Kitaab Hain Amjad Ali Mere


( By Reading Which, The Love of The Rasool becomes Manifest
Such A Book of True Profound Love is My Amjad Ali )


Hain Firqahaye Batila Jitne Jahaan Mein
Un Sub Ka Ik Jawaab Hain Amjad Ali Mere


( For All The Deviant Sects Which are In The World,
A Single Answer to All of them Is My Amjad Ali )


Guldaan e Razviyat Mein Lagaye Jo Chaar Chaand
Aise Haseen Gulaab Hain, Amjad Ali Mere


( The one who Further Adorned The Vase of Razviyat,
That Beautiful Rose is My Amjad Ali ) 


Jo Aasmaane Ishq Se Barsa Hai Aftaab
Woh Qaadiri Sah-haab Hain, Amjad Ali Mere


( O Aftaab! That Which Rained down from The Sky of Love
Such A Qaadiri Cloud is My Amjad Ali )





Penned By Sage Mufti Azam Muhammad Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori
Imam Mustafa Raza Research Centre


Hain Firqahaye Batila Jitne Jahaan Mein
Un Sub Ka Ik Jawaab Hain Amjad Ali Mere


( For All The Deviant Sects Which are In The World,
A Single Answer to All of them Is My Amjad Ali )





Penned By Sage Mufti Azam Muhammad Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori
Imam Mustafa Raza Research Centre


[ Contact Us :- 9929114267 ] 

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne