Kalam E Aaftab Cassim Sahab
MERA MARKAZ BAREILLY HE
Raza Ka Naam Lene Se, Machal Uth-thay He Diwaane,
Bareilly Meri Manzil He, Mera Markaz Bareilly He
Fida Hone Ko Aate He, Raza Ke Dar Pe Parwaane
Ye Parwana e Ulfat He, Mera Markaz Bareilly He
Ye Wo Shama e Wilayat He Na Buj Sakti, Bujaane Se
Madine Se Ye Roshan He, Mera Markaz Bareilly He
Ye Darbaar e Mohabbat He Yaha(n) Milte He Mastaane
Har Ek Noori Ye Kehta He, Mera Markaz Bareilly He
Ye Faizaan e Bareilly He Jo Zaahir He Zamaane Me
Wafaadaro Ka Naara He, Mera Markaz Bareilly He
Ye Markaze Aqeedat He, Koi Maane Ya Na Maane
Mera Imaan Kehta He, Mera Markaz Bareilly He
Yaha(n) Taaj e Shariat He, Yaha(n) Bante He Paymaane
Ye Darbaar e Shariat He, Mera Markaz Bareilly He
Ye Akhtar Ki Inaayat He Nikhar Jaate He Afsaane
Mere Asjad Bhi Kehte He, Mera Markaz Bareilly He
Raza Aftaab e Ummat He, Raza Ke Hum He Diwaane
Dilo Jaan Se Ye Kehte He, Mera Markaz Bareilly He
Penned By Sage Mufti e Azam
Muhammad Afthab Cassim Qaadiri Razvi Noori
Imam Mustafa Raza Research Centre
[ Contact Us :- 9929114267 ]
Comments
Post a Comment