Kalam E Allama Salman Raza Fareedi Sahab Muscat ( Oman )


 Aye Mahe Ramazan


Tu Humme Abhi Aur Theher Aye Mahe Ramazan
Itni Bhi Na Jaldi Se Guzar Aye Mahe Ramazan

Jaye Na Mere Dil Se Kabhi Teri Tajalli
Tu Daal De Ek Eysi Nazar Aye Mahe Ramazan

Hum Kar Na Sake Kuch Bhi Teri Shaan Ke Layiq
Rota Hai Judai Se Jigar Aye Mahe Ramazan

Sharminda Khade Haiñ Teri Dehleez Ke Aage
Khamosh Zubañ Deeda E Tar Aye Mahe Ramazan

Hum Jaise Nikammoñ Pe Yeh Ehsaan Hai Tera
Tu Ban Ke Kareem Aaya Hai Ghar Aye Mahe Ramazan

Haiñ Âshq E Nidamat Mere Tasht E Âmal Me
Kar De Mere Âshqoñ Ko Guhar Aye Mahe Ramazan

Bandoñ Ko Diya Tune Shab E Qadr Ka Tohfa
Beshak Hai Ye Ae'zaz E Bashar Aye Mahe Ramazan

Jo Ûmr Bachi Hai Woh Bhalayi Me Guzar Jaye
Neki Se Saje Dil Ka Nagar Aye Mahe Ramazan

Karta Rahe Taqseem E Ziya Jisse Fareedi
Peymana E Fun Noor Se Bhar Aye Mahe Ramazan


Written By :- Salman Raza Fareedi Shab [ Oman , Muscat ]


[ Contact Us :- 9929114267 ]

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne