Ziyae Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Ata e Kibriya Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Batata Huñ Me Kya Bankar Ziya Ul Mustafa Aaye Mere Dil Ki Sada Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Jamale Hafiz e Millat Nazar Aata Hai Jis Me Wo Chamakta Aayina Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Dua e Hazrat e Sadrushshariyah Ka Ye Samra Hai Hidayat Ki Sham'aa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Wahi Taqwa Wahi Fatwa Wahi Ilm o Amal Sab Kuch Wahi Akhtar Raza Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Bithaye Kyuñ Na Palkoñ Par Inheñ Apne Raza Wale Raza Khañ Ki Raza Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Pasha Gulzar Chiñta Taqwa e Ahmad Raza Ka Yooñ Mukammal Parsa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye Ziyarat Aapki Tajushshariyah Ki Ziyarat Hai Ke Unke Humnawañ Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye
Mat Pucho Bareilly Me Humne 100 Saal Me Kya Kya Dekha Hai Darbar E Raza Me Humne Firdaus Ka Naqsha Dekha Hai Ambar Ko Barasta Dekha Hai Badal Ko Garajta Dekha Hai Rukhsat Pe Wo Fakhre Azhar Ki Lakhon Ko Tadapta Dekha Hai Ae Taj-E- Shariyat Ek Jhalak Chehre Ki Tere Pane Ke Liye ( Ae Murshid Mere Ek Jhalak Chehre Ki Tere Pane Ke Liye ) Lakhon Ko Tarasta Dekha Hai Lakhon Ko Tadapta Dekha Hai 100 Saal To Kya 100 Lakh Baras Woh Naaz Karega Qismat Per Jisne Bhi Humare Murshid Ka Woh Chand Sa Chehra Dekha Hai Jo Tumse Mila Gul Banke Khila Jo Tumse Phira Zillat Me Ghira Gustakhe Raza Ko To Humne Dar Dar Pe Bhatakta Dekha Hai Bachcho Se Raza KeJalta Hai Itna Sa Liye Muñh Phirta Hai Kya Tune Karoroñ Logoñ Ke Sailab Ko Behta Dekha Hai Jab Laute Bareilly Me Wapas Woh Misr Se Kar Ke Sar Uñcha Aamad Pe Woh Fakhre Azhar Ki Nana Ko Machalta Dekha Hai Masla Tha Azan E Sani Ka Murda Sunnat Kar Di Zinda Tab Mere Mujaddid Ka Logon Ne Sikka Khanakta Dekha
Comments
Post a Comment