Tumhari Shan Me Jo Kuch Kahoon Usse Siwa Tum Ho
Tumhari Shan Me Jo Kuch Kahoon Usse Siwa Tum Ho
Qasim e Jaam e Irfan Aye Shah e Ahmed Raza Tum Ho
Jo Markaz Hai Shariyat Ka Madar Ahle Tareeqat Ka
Jo Mehwar Hai Haqeeqat Ka Wo Qutb Ul Awliya Tum Ho
Yahan Aa Kar Mili Nehrein Shariyat Or Tareeqat Ki
Hai Zina Majma'Ul Bahrayn Ese Rehnuma Tum Ho
Haram Walo Ne Mana Tumko Apna Qibla o Ka'aba
Ajam Ke Waste La Rayb Wo Qibla Numa Tum Ho
Aya Hai Shan e Siddiqui Tumhari Shan e Taqwa Se
Kahu Atqa Na Kyu Kar Jab Ke Khair Ul Atqiya Tum Ho
Khuloos e Murtaza Khulq e Hasan Azme Hussaini Main
Hadeem Ul Misl Yakta e Zaman Aye Ba Khuda Tum Ho
Tumhi Phaila Rahe Ho Ilm e Huq Agnaf E Aalam Main
Imam e Ahle Sunnat Na'ib e Gaus Ul Wara Tum Ho
Bhikari Tere Dar Ka Bheek Ki Jholi Hai Phailaye
Bhikari Ki Bharo Jholi Gada Ka Aasra Tum Ho
Aleem E Khasta Ik Adna Gada Hai Aastane Ka
Karam Farmane Wale Haal Pr Uske Shaha Tum Ho
`•°`•°`•°`•°`•°`•°`•°`•°`•°`•°`•°`•°`
`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`
[Blog :: Mohammed Usman Gani Qureshi]
Comments
Post a Comment