Muhaddith E Kabeer Hai(n)
Ameere Bazme Ma'rifat Farag E Charkh E Aag Hi
Woh Ek Marde Basafa Woh Ek Momine Jari
Pukar Utha Har Ek Gul Yeh Keh Uthi Har Ek Kali
Bahar E Baag E Amjadi Muhaddith E Kabeer Hai(n)
Ada Ada Me Baakpan Nafas Nafas Me Zindagi
Labo(n) Pe Zikre Mustafa ( ﷺ ) Jabee(n) Pe Naqshe Bandagi
Ba-har Qadam Ba-Har Nafas Khayal E Sunnate Nabi ( ﷺ )
Meri Nigah Me Wali Muhaddith E Kabeer Hai(n)
Mizaj Narm Is Qadar Chaman Ho Jese Phool Ka
Magar Usool Ke Liye Himalaya Usool Ka
Jo Koyi Murtakib Hua Ihanate Rasool ( ﷺ )
To Zulfiqare Haidari Muhaddith E Kabeer Hai(n)
Hazaar Hikmate(n) Chupi Hui Hai(n) Baat Baat Me
Tamam Khubiya(n) Simat Gayi Hai(n) Ek Zaat Me(n)
Wohi Hai Karr O Far Har Ek Manzile Hayat Me(n)
Mard E Momin E Jari Muhaddith E Kabeer Hai(n)
Zaba(n) Me Zore Amjadi Qalam Me Quwwat E Raza
Nigah Me(n) Nuqta Been Me(n) Jalwa Baseerate Raza
Baraye Sina-e Adu Ba-Faize Himmate Raza
Raza Ke Neze Ki Ani Muhaddith E Kabeer Hai(n)
Hai Jis Ke Khauf Se Jahane Najdiyat Dhua(n) Dhua(n)
Dari Huyi Hai Jiski Zau Se Zulmato(n) Ki Aandhiya(n)
Hai Jiske Dam Se Bazme Ilm O Fun Me(n) Noor Ka Sama(n)
Wohi Ziya E Qadri Muhaddith E Kabeer Hai(n)
•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•
[ Contact Us :- 9929114267 ]
•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•°•
Comments
Post a Comment