Tazmeen With Kalam e Raza

Tazmeen :- Arsh E Huq Hai

Marhaba Makhlooq Pe Rehmat Rasool Allah Ki
Har Zamane Me Rahi Shohrat Rasool Allah Ki
Kya Zameen O Aasmañ , Jannat Rasool Allah Ki
Arshe Haq Hai Masnade Rif'at Rasool Allah Ki
Dekhni Hai Hashr Me Izzat Rasool Allah Ki



Noor Ke Aabe Rawa Me Bel Bute Noor Ke
Noor Ki Raushan Fiza Me Sare Jalwe Noor Ke
Raqs Farmayenge Aankhoñ Me Nazare Noor Ke
Qabr Me Lehrayenge Tahashr Chashme Noor Ke
Jalwa Farma Hogi Jqb Tal'at Rasool Allah Ki



Jin Ki Zate Paak Tahleeq E Do Âalam Ki Bina(Buniyad)
Jinke Sadqe Me Hui Maqbool Âalam Ki Dua 
Keh Diya Hai Jin Ko Rab Ne Shafa'e Roz e Jaza
Woh Jahannam Me Gaya Jo Unse Mustagnee Hua
Hai Khaleelullah Ko Hajat Rasool Allah Ki



Nange Deeñ Haiñ Tere Roz O Shab Wahabi Door Ho
Hai Juda Hum Se Tera Mazhab Wahabi Door Ho
Tu Raha Shaitañ Ka Hum - Maktab Wahabi Door Ho
Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Door Ho 
Hum Rasool Allah Ke Jannat Rasool Allah Ki

( Shaitan Ka Hum - Maktab :- Shaitan Ke Sath Me Padhne Wala )



Ek Sarapa Moàjza Khud Aapki Hai Zaat E Paak
Aapke Munkir Ki Qismat Hai Azaab E Dardnaak 
Aapko Jo Aone Jaisa Bole Uske Muñh Me Khaak
Suraj Ulte Paañv Palte Chand Ishare Se Ho Chak
Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasool Allah Ki



Kya Maqam O Martaba Hai Sahibe Me'raj Ka
Allah Allah Aagreeñ Sad Afreeñ Sad Marhaba
Ikhtiyar E Sarware Dil Koyi Dekhe To Zara
La Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Bat-Ti Hai Kaunain Me Ne'mat Rasool Allah Ki



Tha Har Ek Zahir Se Pahle Ae Nazeer Unka Zuhoor
Jinse Mehre Maah O Anjum Kar Rahe Haiñ Kasme Naum
Aétaraf E Na Rasayi Hai Mazaq E Ba Sha'oor
Ae Raza Khud Sahib E Qur'añ Hai Maddah e Huzoor 
Tujh Se Kab Mumkin Hai Phir Midhat Rasool Allah Ki



Written :- Mufti Nazeer Ahemad Sahab Amjadi

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne