Tazmeen E Naseer With Kalam E RAZA

Waah Kya Jood O Karam Hai 

Koyi Duniya E Karam Me Nahiñ Hamta Tera
Ho Jo Hatim Ko Mayassar Wo Nazara Tera
To Keh Uthe Dekh Ke Bakhshish Me Rutba Yera

Waah Kya Jood O Karam Hai Shahe Bataha Tera
Nahiñ Sunta Hi Nahiñ Mangne Wala Tera




Kuch Bashar Hone Ke Nate Tujje Khudsa Jane
Or Kuch Mahaz Payami Hi Khuda Ka Jane
Inki Auqat Hi Kya Hai Ke Ye Itna Jane

Farsh Wale Teri Dhauqat Ka Ulu Kya Jane
Khusrawa Arsh Pe Udta Hai Pharera Tera




Mujhse Nacheez Pe Teri Hai Inayat Kitni
Tune Har Gaam Pe Ki Meri Himayat Kitni
Kya Batauñ Teri Rehmat Me Hai Wus'at Kitni

Ek Maiñ Kya Mere Isyañ Ki Haqiqat Kitni
Mujhse Sau (100) Lakh Ko Kafi Hai Ishara Tera




Kayiñ Pushtoñ Se Gulami Ka Ye Rishta Hai Bahal
Yahiñ Tifli O Jawani Ke Bitae Mah o Saal 
Ab Budhape Me Khudara Hame Yuñ Dar Se Na Taal

Tere Tukdoñ Pe Pale Gair Ki Thokar Pe Na Daal
Jhidkiyañ Khayeñ Kahañ Chod Ke Sadqa Tera




Game Daurañ Se Jo Ghabraiye Kisse Kahiye
Apni Uljhan Kise Batlaiye Kisse Kahiye
Cheer Kar Dil Kise Dikhlaiye Kisse Kahiye

Kiska Muñh Takiye Kahañ Jaiye Kisse Kahiye
Tere Hi Qadmon Pe Mit Jae Ye Pala Tera




Nazre Ushshaq E Nabi ﷺ Hai Ye Tera Harf E Gareeb
Mimbar E Waaz Pe Ladte Raheñ Aapas Me Khateeb
Ye Aqeeda Rahe Allah Kare Mujh Ko Naseeb 

Maiñ To Malik Hi Kahunga Ke Ho Malik Ke Habib
Ya'ni Mehboob O Muhib Me Nqhiñ Mera Tera  : -->(13)



Tujhse Har Chand Wo Haiñ Qadr O Fazail Me Rafee'
Kar NASEER Aaj Magar Fikr E Raza Ki Tausee'
Paas Hai Uske Shafa'at Ka Waseela Bhi Waqee'

Teri Sarkar Me Lata Hai RAZA Usko Shafee'
Jo Mera Gaus Hai Or Ladla Beta Tera

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne