Bayañ Kaise Karuñ

Bayañ Kese Karuñ


Bayañ Kaise Karuñ Kya Shan Mehboob E Khuda Ki Hai
Jise Iyman Kehte Haiñ Muhabbat Mustafa Ki Hai 


Ibadat Kar Ke Bhi Wo Mustaheeq Hai Naare Dozakh Ka
Adawat Jis Kisi Ke Dil Me Shah E Ambiya Ki Hai


Ilahi Us Namaz E Ishq Ka Sadqa Ata Karde
Ali Ne Jo Namaz E Ishq Sehba Me Ada Ki Hai


Bahattar(72) The Magar Fir Bhi Hazaroñ Par Rahe Galib 
Utha Kar Dekhlo Tarikh Ye Karbobala Ki Hai


Qadam Hai Auliya Allah Ki Gardan Pe Jab To Sar 
Kahañ Hoga Samajh Lo Shan Kya Gaus Ul Wara Ki Hai


Koi Kursi Pe Bethe Isse Kya Raja To Khwajah Hai
Hukumat Pure Bharat Me Mere Khwajah Piya Ki Hai


Jahan E Sunniyat Me Gaus O Khwajah Ki Inayat se
Shahanshahi Musallam Aaj Bhi Ahmed Raza Ki Hai


Na Fatwa Me Badal Koi Na Taqwa Me Koi Sani
Hai Ye Ta'rif Kiski Mufti e A'azam Shaha Ki Hai


Lage Jab Basti Basti Qariya Qariya Ka Kahaiñ Na'rah
To Khul Kar Samne Aao Agar Chahat Wafa Ki Hai


Hai Huq Goyi Wa Bebaki Ke Paikar Qayid E Millat
Karam Hai Aâla Hazrat Ka Ata Akhtar Raza Ki Hai


Koyi Nadañ Unheñ Khudsa Kahe Ye Gair Mumkin Hai
Jahan E Ilm Me Shohrat Ziya Ul Mustafa Ki Hai


Gayasuddin Shere Kalpi Ka Hath Mujh Par Hai
Bala Mujhe Ghere Mujhe Itni Kahañ Himmat Bala Ki Hai


Milega Bazme Jannat Me Nabi Ki Na'at Ka Mauqa
WASI Gulzar E Millat Ne Teri Khatir Dua Ki Hai


Written By : Hafiz O Qari Sayyed Abdul Wasi Qadri Barkati Razvi Ureyzi Sahab (Mumbai)

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne