Tumhare Dar Pe Jo Maiñ Baryab Ho Jauñ ...2


Teri Sarkar Me Lata Hai Raza Us Ko Shafe'
Jo Mera Gaus Hai Or Ladla Beta Tera


Jo Piya Ko Bhaye Akhtar Wo Suhana Raag Hai 
jis Se Na Khush Hoñ Piya Wo Ragini Achi Nahi


              (Durood shareef)
              

Tumhare Dar Pe Jo Me Baryab Ho Jauñ
Qasam Khuda Ki shaha Kamyab Ho Jauñ


Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hamatan Karam Bataya
Hame Bhik Mangne Ko Tera Aastañ Bataya
              (Tujhe Hamd Hai Khudaya.. ..)


Yahi Bole Sidra Wale Chaman E Jahañ Ke Thale 
Sabhi Mene Chaan Dale Tere Paye Ka Na Paya
               (Tujhe Yak Ne Yak Banaya.. ..)


Tumhare Dar Pe Jo Me Baryab Ho Jauñ
Qasam Khuda Ki shaha Kamyab Ho Jauñ


Mere Kareem Se Gar Qatra Kisi ne Manga 
Dariya Baha Diye Haiñ Durr Be Baha Diye Haiñ


Unki Mehek Ne Dil Ke Gunche Khila Diye Haiñ 
Jis Rah chal Chal Diye Haiñ Kunche Basa Diye Haiñ


Aane Do Ya Dubo Do Ab to Tumhari Janib 
Kishti Tumhi Pe Chodi Langar Utha Diye Haiñ


Kuch Aesa Karde Mere Kirdwgar Aankhoñ Me
Hanesha Naqsh Rahe Ruye Yaar Aankhoñ Me


Wo Noor De Mere Parwardigar Aankhoñ Me
Ke Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahar Aankhoñ Me



Farishtoñ Puchte Ho Mujhse Kiski Ummat Ho
Lo Dekh Lo Ye Hai Tasweer E Yaar Aankhoñ Me


Zan Zameen o Zor Aur Zar Ke Haiñ Gahak Kubaku
Dil se Jo Ho Talib e Zikr E Khuda Milta Nahiñ


Char Za(ز) Ek Zaal(ذ) ke Badle Me Le Chokas Rahe 
Ye Na Samjhe Ye Ikai- Sekda Milta Nahi


Wo Jo Apne Daur Ka Siddiq Tha Milta Nahiñ 
Mehram E Raaz E Muhammad Mustafa Milta Nahiñ


Chaar Yaroñ Ki Adaeñ Jis Me Thi Jalwa Numa 
Chaar Yaroñ Ka Wo Roshan Aaina Milta Nahiñ


Muttaqi Ban Kar Dikhaye Is Zamane Me Koyi 
Ek Mere Mufti e A'azam Ka Taqwa Chod Kar


Mufti E A'azam Ka Zarra Kya Bana Akhtar Raza 
Mehfil E Anjum Me Akhtar Dusra Milta Nahiñ


Nigah E Mufti E A'azam ki Hai Ye Jalwa Gari
Chamak Raha Hai Jo Akhtar Hazar Aankhoñ Me


Istiqamat Ko Wo Kohe Mudda'a Bala Tareeñ..


Istiqamat Shari'at Pe Is Shan Ki
Dehr Ke Muqtada Dekhte Reh Gaye


Dekhe Tal'at Teri Asfiyan E Jahañ
Hum To Talwa Tera Dekhte Reh Gaye



Husn e Akhtar Ki Shokat Ka Kya Ho Bayañ
Hum To Asjad Raza Dekhte Reh Gaye


Nigah e Tajushariyah Ki Hai Ye Jalwa Gari
Chamak Raha Hai Jo Asjad Hazar Aankhoñ Me


Reh
Numaoñ Ki Si Surat Rahmari Kaam Hai 
Rahzan Kubaku Or Rehnuma Milta Nahiñ



Hai Safae Zahidi Ke Saaz o Saamañ Khubakhu
Jis Ka Batin Saaf Ho Wo Basafa Milta Nahiñ


Hai Riyakaroñ Ka Shohra Hai Riyakari Ki Dhum Boriya e Fakhr Bhi Ab Beriya Milta Nahiñ


Nigah E Mufti E A'azam ki Hai Ye Jalwa Gari
Chamak Raha Hai Jo Akhtar Hazar Aankhoñ Me


Lahad Me Ishq E Rukhe Shah Ka Daag Le Ke Chale 
Andheri Raat Suni Thi Charaag Leke Chale


Tere Gulamoñ Ka Naqsh e Qadam Hai Raahe Khuda
Wo Kya Behek Sake Jo Ye Suraag Le Ke Chale


Zindagi Ye Nahiñ Hai Kisi Ke Liye
Zindagi Hai Nabi Ki Nabi Ke Liye


Nasamajh Marte Haiñ Zindagi Ke Liye
Jina Marna Hai Sab Kuch Nabi Ke Liye


Chandani Chaar Din Hai Sabhi Ke Liye Hai Sada Chand Abd Un Nabi Ke Liye


Maslak e A'alahazrat Salamat Rahe 
Ek Pehchan Deen E Nabi Ke Liye


Maslak e A'alahazrat Pe Qayim Raho 
Zindagi Di Gayi Hai Isi Ke Liye

Sulhe Kulli Nabi Ka Nahiñ sunniyoñ
Sunni Muslim Hai Sachcha Nabi Ke Liye


Qabr Me Lehraenge Ta Hashr Chashme Noor Ke
Jalwafarma Hogi Jab Tal'al Rasool Allah Ki


Jina Banegi Muhibbane Chaar Yaar Ki Qabr
Jo Apne Sine Me Ye Chaar Baag Le Ke Chale


Andheri Raat Suni Thi Charaag Leke Chale..


Akhtar E Qadri Khuld Me Chal Diya
Khul Wa Hai Har Ek Qadri Ks Liye


Tere Gulamoñ Ka Naqsh e Qadam Hai Raahe Khuda
Wo Kya Behek Sake Jo Ye Suraag Le Ke Chale



Munawwar Meri Aankhoñ Ko Mere Shams Ud Duha Kar De
Gamoñ Ki Dhup Me Wo Sayae Zulf E Duta Karde



Jahañ Me Unki Chalti Hai Wo Dam Me Kya Se Kya Kar Deñ 
Zameeñ Ko Aasmañ Kardeñ Surayya Ko Sara Kar Deñ



Jahañ Me Aam Paigam E Shah E Ahmad Raza Kardeñ
Palat Kar Piche Dekheñ Fir Se Tajdid E Wafa Kar Deñ


Nabi Se Jo Ho begana Use Dil Se Juda Kar Deñ 
Pidar Madar Biradar Maal O Jaañ Un Par Fida Kar Deñ


Tabassum Se Gumaan Ghuzre Shab e Taarik Par Din Ka
Ziyaaoñ Se Wo Diwaaroñ Ko Roshan Aaina Kar Deñ(Hzrt)
Ziyaa e Rukh Se Diwaaroñ Ko Roshan Aaina Kar Deñ



Jahañ Bani Ata Kardeñ Bhari Jannat Hiba Kardeñ
Nabi Mukhtar E Kul Haiñ Jis Ko Jo Chahe Ata Kardeñ


Mujhe Kya Fikr Ho Akhtar Mere Yawar Haiñ Wo Yawar 
Balaoñ Ko Jo Meri Khud Giraftar E Bala Kar Deñ


Tumhara Naam Musibat Me Jab Liya Hoga
Hamara Bigda Hua Kaam Ban Gaya Hoga





Aziz Bache Ki Maañ Jis Tarah Talash Kare
Khuda Gawah Hai Wohi Haal Aapka Hoga


Benisar Koyi Kese Hi Ranj Me Ho
Jab Yaad Aa Gaye Haiñ Sab Gham Bhula Diye Haiñ


Dulha Se Itna Kehdo Pyare Sawari Roko
Mushkil Me Haiñ Barati Pur Khar Wadiye Haiñ 



Mujhse Faqeer Bhi Ab Feri Ko Uthte Honge
Ab To Gani Ke Dar Par Bistar Jana Diye Haiñ


Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai ke Madina Dekhuñ ... 


Tum Chalo Hum chaleñ Sab Madine Chale
Janib e Taiba Sab Ke Safine Chaleñ


Mae Kashoñ Aao Aao Madine Chaleñ 
Badae Khuld Ke Jaam Peene Chaleñ


Ab To Basss ek Hi Dhun hai Ki Madina Dekhuñ.......






[Contact WhatsApp No. 9929114267]

Comments

Popular posts from this blog

Ziya e Mustafa Ban Kar Ziya Ul Mustafa Aaye

Mat Pucho Bareilly Meñ Humne