Qasam Khuda Ki Shaha Kamyaab Ho Jauñ(..1)
Tumhare Dar Pe Jo Me Baryab Ho Jaauñ
QasamKhuda Ki Shaha Kamyaab Ho Jaauñ
Chamak Tujhse Pate Haiñ Sab Paane Wale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamkane Wale
Barasta Nahiñ Dekh Kar Abr E Rehmat
Badoñ Par Bhi Barsa De Barsane Wale
Tu Zindah Hai Wallah Tu Zindah Hai Wallah
Meri Chashm E Aaam Se Chup Jane Wale
Rahega Yuñ Hi Unka Charcha Rahega
Pade Khaak Ho Jaaeñ Jal Jane Wale
..Tumhare Dar Pe Jo Me Baryab Ho Jaauñ
QasamKhuda Ki Shaha Kamyaab Ho Jaauñ..
Wohi Rab Hai Jisne Tujhko Hamatan Karam Bataya
Hame Bhik Mangne Ko Tera Aastañ Bataya
(Tujhe Hamd Hai Khudaya.. ..)
Woh Kuñvari Paak Maryam Woh Nafakhto Fih Ka Dam
Hai Ajab Nishan e A'azam Magar Aamina Jaaya
(Wohi Sabse Afzal Aaya)
Nazar Me Kisi Ki Nazar Ho Rahi Ha
Meri Chashme Kaan E Gohar Ho Rahi Hai
Mere Khufiya Naloñ Ko Maiñ Sun Raha Hooñ
Înayat Kisi Ki Idhar Ho Rahi Hai
Madine Se Meri Bala Jaaye Akhtar
Meri Zindagi Waqf e Dar Ho Rahi Hai
Lahad Me Ishq E Rukh e Shah Ka Daag Leke Chale ?
Andheri Raat Suni Thi Charag Le Ke Chale
Do Jahañ Me Koyi Tumsa Dusra Milta Nahiñ
Dhundte Phirte Haiñ Mehr O Maah Oata Milta Nahiñ
Char Za(ز) Ek Zaal(ذ) ke Badle Me Le Chokas Rahe Ye Na Samjhe Ye Ikai- Sekda Milta Nahi
Wo Jo Apne Daur Ka Siddiq Tha Milta Nahiñ
Mehram E Raaz E Muhammad Mustafa Milta Nahiñ
Chaar Yaroñ Ki Adaeñ Jis Me Thi Jalwa Numa
Chaar Yaroñ Ka Wo Roshan Aaina Milta Nahiñ
Nigah E Mufti E A'azam ki Hai Ye Jalwa Gari
Chamak Raha Hai Jo Akhtar Hazar Aankhoñ Me
Lahad Me Ishq E Rukh E Shah Ka Daag Leke Chale
Andheri Raat Suni Thi Charaag Leke Chale
Zindagi Ye Nahiñ Hai Kisi Ke Liye
Zindagi Hai Nabi Ki Nabi Ke Liye
Nasamajh Marte Haiñ Zindagi Ke Liye
Jeena Marna Hai Sab Kuch Nabi Ke Liye
Chandani Chaar Din Hai Sabhi Ke Liye
Hai Sada Chand Abd Un Nabi Ke Liye
Maslak e A'alahazrat Pe Qayim Raho
Zindagi Di Gayi Hai Isi Ke Liye
Maslak e A'alahazrat Salamat Rahe
Ek Pehchan Deen E Nabi Ke Liye
Sulh E Kulli Nabi Ka Nahiñ Sunniyoñ
Sunni Muslim Hai Sachcha Nabi Ke Liye
Akhtar E Qadri Khuld Me Chal Diya
Khuld Wa Hai Har Ek Qadri Ke Liye
Naqsh E Paae Sagane Nabi Dekhiye
Ye Pata Hai Bahut Rahbari Ke Liye
Tere Gulamoñ Ka Naqsh E Qadam Hai Raah E Khuda
Woh Kya Behek Sake Jo Ye Suraag Leke Chale
Lahad Me Ishq E Rukh E Shah Ka Daag Leke Chale
Nigah E Mufti E A'azam Ki Hai Ye Jalwagari
Chamak Raha Hai Jo Akhtar Hazar Aankoñ Me
Nigah E Tajushshariyah Ki Hai Ye Jalwagari
Chamak Raha Hai Jo Asjad Hazar Aankoñ Me
Tumhare Dar Pe Jo Me Baryab Ho Jaauñ
QasamKhuda Ki Shaha Kamyaab Ho Jaauñ.......
`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`
[Blog :: Mohammed Usman Gani Qureshi]
Comments
Post a Comment