Kalam e Huzoor Tajushshariyah
Tumse Jo Gureza Hai
Tumse Jo Gureza Hai Farzana Wo Deewana
Shaida Jo Hua Tum Par Farzana Wo Deewana
Aa Ja Dile Weerañ Meñ Tera Ho Ye Kashana
Lillah Karam De Ae Jalwae Janana
Aankhoñ Se Pila Wo Mae Sar Mast Rahuñ Jisse
Bhar De Mera Peymana Ae Saqie Mae - Khana
Woh Abre Bahar Aaya Har Shae Pe Nikhar Aaya
La Jald Mere Saqi De Sagar O Paymana
Kya Raat Ke Parde Se Chupke Se Sahar Nikli
Ya Jane Dil - Ara Ne Zulfoñ Meñ Kiya Shana
Badkaar Sahi Lekin Banda Hooñ Tere Dar Ka
Mahroom Na Rakh Mujh Ko Ae Shane Karimana
Yooñ Tham Ke Daaman Ko Machla Hai Sare Mehshar
Dekhe Koyi Akhtar Ka Ye Naaz - e - Karimana
`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`•`
[Blog :: Mohammed Usman Gani Qureshi]
Comments
Post a Comment